Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ganga ashnan

Saqib Kanpuri

ganga ashnan

Saqib Kanpuri

MORE BYSaqib Kanpuri

    ai bahār-e-gang ai sarmāya-e-pākīzgī

    terī hastī tishna-kāmoñ ke liye mai-ḳhāna hai

    dars-āmoz-e-fanā hai qatra qatra aab

    habāboñ zabāñ par na.ara-e-mastāna hai

    tere pahlū meñ hai ik doshīza-e-husn-o-jamāl

    jis tasvīr-e-javānī ik sarāpā nuur hai

    mauj ik aTkheliyoñ se chheḌ kartī hai vo aañkh

    jo azal se kaif-āgīñ hai nashe meñ chuur hai

    tālib-e-dīdār bahtā hai dil lahroñ ke saath

    ma.arifat zauq paatā hai kañval ke phuul meñ

    har kalī tah meñ sāmān-e-latāfat dekh kar

    aab chādar meñ ho jaate haiñ poshīda gunāh

    nuur paikar banā deñgī lakīreñ mauj

    dāġh-e-zulmat ko miTā degī ye aabī jalva-gāh

    ġhair-mumkin hai ki dil meñ raushnī paidā na ho

    bulbule paanī ke haiñ insān meñ vahdat sham.a

    sādhūoñ ke vāste updesh hai maujoñ raag

    haath meñ le kar khaḌe haiñ devtā jannat sham.a

    terī mauj-e-muztarib hai aur dil-e-pur-josh hai

    ya.anī betābi meñ us mudda.ā mil jā.egā

    halqa-e-girdāb meñ naqsh-e-haqīqat dekh kar

    ġhuncha-e-gul tarah dil kañval khil jā.egā

    ai bahaar-e-gang ai sarmaya-e-pakizgi

    teri hasti tishna-kaamon ke liye mai-KHana hai

    dars-amoz-e-fana hai qatra qatra aab ka

    ya hababon ki zaban par nara-e-mastana hai

    tere pahlu mein hai ek doshiza-e-husn-o-jamal

    jis ki taswir-e-jawani ek sarapa nur hai

    mauj ek aTkheliyon se chheD karti hai wo aankh

    jo azal se kaif-agin hai nashe mein chur hai

    talib-e-didar ka bahta hai dil lahron ke sath

    marifat ka zauq pata hai kanwal ke phul mein

    har kali ki tah mein saman-e-latafat dekh kar

    aab ki chadar mein ho jate hain poshida gunah

    nur ka paikar bana dengi lakiren mauj ki

    dagh-e-zulmat ko miTa degi ye aabi jalwa-gah

    ghair-mumkin hai ki dil mein raushni paida na ho

    bulbule pani ke hain insan mein wahdat ki shama

    sadhuon ke waste updesh hai maujon ka rag

    hath mein le kar khaDe hain dewta jannat ki shama

    teri mauj-e-muztarib hai aur dil-e-pur-josh hai

    yani betabi mein us ka muddaa mil jaega

    halqa-e-girdab mein naqsh-e-haqiqat dekh kar

    ghuncha-e-gul ki tarah dil ka kanwal khil jaega

    Source:

    (Pg. 84)

    • Author: Saqib Kanpuri
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now