gardish-e-ayyam
zindagī itnā batā de tū mujhe tere liye
aur yuuñ kitne marāhil se guzarnā hogā
marhala gardish-e-hālāt ke roz-o-shab kā
marhala uljhe ḳhayālāt ke roz-o-shab kā
marhala vaqt kī be-mehrī-o-bezārī kā
marhala zehnī aziyyat kā dil-āzārī kā
jiite jī kyā mujhe har roz hī marnā hogā
zindagī itnā batā de tū mujhe tere liye
aur yuuñ kitne marāhil se guzarnā hogā
marhala ḳhvāb kī tā'bīr na mil paane kā
marhala shauq kī kaliyoñ ke na khil paane kā
marhala vaqt kī tasvīr badal jaane kā
marhala himmat-e-sangīñ ke pighal jaane kā
kyā mujhe Tuut ke har roz bikharnā hogā
zindagī itnā batā de tū mujhe tere liye
aur yuuñ kitne marāhil se guzarnā hogā
ek saa.e ke liye chand nivāloñ ke liye
jo gavārā na hue aise ka.ī kaam kiye
aur tahzīb-o-tamaddun ke ujāloñ ke liye
kabhī ġham khaa.e kabhī dard-bhare jaam piye
aur me'yār se kis darja utarnā hogā
zindagī itnā batā de tū mujhe tere liye
aur yuuñ kitne marāhil se guzarnā hogā
zindagi itna bata de tu mujhe tere liye
aur yun kitne marahil se guzarna hoga
marhala gardish-e-haalat ke roz-o-shab ka
marhala uljhe KHayalat ke roz-o-shab ka
marhala waqt ki be-mehri-o-bezari ka
marhala zehni aziyyat ka dil-azari ka
jite ji kya mujhe har roz hi marna hoga
zindagi itna bata de tu mujhe tere liye
aur yun kitne marahil se guzarna hoga
marhala KHwab ki ta'bir na mil pane ka
marhala shauq ki kaliyon ke na khil pane ka
marhala waqt ki taswir badal jaane ka
marhala himmat-e-sangin ke pighal jaane ka
kya mujhe Tut ke har roz bikharna hoga
zindagi itna bata de tu mujhe tere liye
aur yun kitne marahil se guzarna hoga
ek sae ke liye chand niwalon ke liye
jo gawara na hue aise kai kaam kiye
aur tahzib-o-tamaddun ke ujalon ke liye
kabhi gham khae kabhi dard-bhare jam piye
aur me'yar se kis darja utarna hoga
zindagi itna bata de tu mujhe tere liye
aur yun kitne marahil se guzarna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.