Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gharibon ki sada

Mohammad Deen Taseer

gharibon ki sada

Mohammad Deen Taseer

MORE BYMohammad Deen Taseer

    ġharīboñ fāqa-kashoñ sadā hai

    mare rahe haiñ

    amīroñ ke aishoñ ambār sar par

    lade haiñ zamāne ke afkār sar par

    zamīñdār kāñdhe pe sarkār sar par

    mare rahe haiñ

    sharāboñ ke rasiyā amīroñ kyā hai

    hañse rahe haiñ

    ġharīboñ mehnat daulat churā kar

    ġharīboñ rāhat duniyā miTā kar

    mahal apne ġhārat-garī se sajā kar

    hañse rahe haiñ

    ġharīboñ ne sambañdh mil kar kiyā hai

    ḳhushī baḌh ga.ī hai ki ġham baḌh rahe haiñ

    nigāhoñ se aage qadam baḌh rahe haiñ

    sambhalnā amīro ki ham baḌh rahe haiñ

    baḌhe rahe haiñ

    gharibon ki faqa-kashon ki sada hai

    mare ja rahe hain

    amiron ke aishon ka ambar sar par

    lade hain zamane ke afkar sar par

    zamindar kandhe pe sarkar sar par

    mare ja rahe hain

    sharabon ke rasiya amiron ka kya hai

    hanse ja rahe hain

    gharibon ki mehnat ki daulat chura kar

    gharibon ki rahat ki duniya miTa kar

    mahal apne ghaarat-gari se saja kar

    hanse ja rahe hain

    gharibon ne sambandh mil kar kiya hai

    KHushi baDh gai hai ki gham baDh rahe hain

    nigahon se aage qadam baDh rahe hain

    sambhalna amiro ki hum baDh rahe hain

    baDhe ja rahe hain

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 44)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now