Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guDDe miyan ki shadi

Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

guDDe miyan ki shadi

Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

MORE BYAkhgar Mushtaq Raheem Aabadi

    guDDe miyāñ shādī

    har ik samt gūñje hue qahqahe

    hañsī dil-lagī zamzame chahchahe

    zamīñ muskurā āsmāñ ḳhuub jhuum

    ki baaqī nagar meñ hai shādī dhuum

    yahāñ mehmāñ aur vahāñ mehmāñ

    jidhar dekhiye aur jahāñ mehmāñ

    ġharaz mehmāñ aa.e haiñ be-shumār

    ki muddat se is din thā intizār

    nausha banāne rasm

    vo guDDe miyāñ ghar bulā.e ga.e

    biThā kar vo nausha banā.e ga.e

    hathelī pe mehñdī rachā.ī ga.ī

    vo nausha ko achkan pahnā.ī ga.ī

    vo gaañv maalī 'atīq' aa gayā

    vo sarsoñ ke phūloñ sahrā bañdhā

    har ik rasm se jab farāġhat huī

    to mirchoñ ke phūloñ baddhī paḌī

    vo ham-joliyoñ meñ lagā qahqaha

    marāsan jo ban kar uThīñ 'hāshima'

    marāsan bhī Dholak bajāne lagī

    ḳhushī ke tarāne sunāne lagī

    marāsan ko muñh māñgā haq jab milā

    ba-mushkil marāsan se pīchhā chhuTā

    bārāt ravāngī

    vo nausha miyāñ pahne goTe haar

    chale ek meñDhe pe ho kar savār

    chhanā-chhan chhanā-chhan barātī chale

    patīlī ke dhakne bajāte hue

    vo 'annū' gavayyā bhī gaatā huā

    fazāoñ meñ tāneñ uḌātā huā

    na.ī zindagānī mubārak rahe

    mubārak ye shādī mubārak rahe

    bārāt dulhan ke makān pahuñch chukī ab nikāh vaqt hai

    'qamar' haiñ vakīl aur 'aqīla' gavāh

    'surayyā' guḌiyā dekho byaah

    vo 'raziya' ko qaazī banāyā gayā

    vo nausha ko mahfil meñ laayā gayā

    vo qaazī varaq ik ulaTne lage

    barātī sab ik simaTne lage

    qaazī nikāh paḌhāte haiñ

    musammāt-e-gul duḳhtar-e-shaiḳh 'ḳhār'

    ba-mahr-e-muajjal bayāsī hazār

    gulistāñ motī samundar phuul

    kaho bhaa.ī guDDe ye shādī qubūl

    chhohāroñ taqsīm

    paḌhā kar uThe jaise qaazī nikāh

    kisī ne chhohāroñ de salāh

    chhohāroñ thālī luTā.ī ga.ī

    shakar bhī maze le ke khaa.ī ga.ī

    kisī ne chhohāroñ se Topī bharī

    shakar bhī kahīñ ḳhuub phāñkī ga.ī

    magar ek sāhab kamand-e-havā

    kaheñ kis se apnā ajab mājrā

    ye har chand bachpan ke hushiyār the

    chhohāroñ luTTas pe tayyār the

    magar bhiiḌ meñ aise kuchh ye dabe

    ki har paañv ke nīche kuchle ga.e

    paTā-paT chhohāre baraste rahe

    magar ye bichāre taraste rahe

    koī naak par koī sar par lagā

    magar un ke muñh tak na koī gayā

    shakar aañkh aur kaan meñ ghus ga.ī

    bichāre puurī durgat banī

    natīja ye sab jald-bāzī thā

    ki in maza kirkirā ho gayā

    dulhan ruḳhsatī

    vo chhoTā ik box laayā gayā

    miyāna jise thā banāyā gayā

    savārī ye dulhan thī aa ga.ī

    vo baiThī dulhan vo huī ruḳhsatī

    kahār apne kāñdhe badalte chale

    miyāne pe dūlhā dulhan liye

    kuḌum-dhum kuḌum-dhum chalī phir barāt

    lagī gūñjne gaane baaje se raat

    anaar aur chhachhūñdar chhuTāte hue

    nichhāvar ke paise luTāte hue

    sahar hote hote makāñ aa ga.e

    dulhan le ke guDDe miyāñ aa ga.e

    bārāt vāpas aa kar

    yahī mehmānoñ meñ hai guftugū

    ki dūlhan hai be-shak baḌī ḳhūb-rū

    salīqe ke sasurāl vaale bhī haiñ

    dikhāvā nahīñ maal vaale bhī haiñ

    ye sardī sub.h aur sardī shaam

    magar qābil-e-dād har intizām

    ye bartan ye kapḌe ye kursī ye mez

    milā hai bahut ḳhūbsūrat jahez

    sadā phir vo 'annū' aane lagī

    fazāoñ meñ mastī luTāne lagī

    na.ī zindagānī mubārak rahe

    mubārak ye shādī mubārak rahe

    guDDe miyan ki shadi

    har ek samt gunje hue qahqahe

    hansi dil-lagi zamzame chahchahe

    zamin muskura aasman KHub jhum

    ki baqi nagar mein hai shadi ki dhum

    yahan mehman aur wahan mehman

    jidhar dekhiye aur jahan mehman

    gharaz mehman aae hain be-shumar

    ki muddat se is din ka tha intizar

    nausha banane ki rasm

    wo guDDe miyan ghar bulae gae

    biTha kar wo nausha banae gae

    hatheli pe mehndi rachai gai

    wo nausha ko achkan pahnai gai

    wo ganw ka mali 'atiq' aa gaya

    wo sarson ke phulon ka sahra bandha

    har ek rasm se jab faraghat hui

    to mirchon ke phulon ki baddhi paDi

    wo ham-joliyon mein laga qahqaha

    marasan jo ban kar uThin 'hashima'

    marasan bhi Dholak bajaane lagi

    KHushi ke tarane sunane lagi

    marasan ko munh manga haq jab mila

    ba-mushkil marasan se pichha chhuTa

    baraat ki rawangi

    wo nausha miyan pahne goTe ka haar

    chale ek meinDhe pe ho kar sawar

    chhana-chhan chhana-chhan baraati chale

    patili ke dhakne bajate hue

    wo 'annu' gawayya bhi gata hua

    fazaon mein tanen uData hua

    nai zindagani mubarak rahe

    mubarak ye shadi mubarak rahe

    baraat dulhan ke makan pahunch chuki ab nikah ka waqt hai

    'qamar' hain wakil aur 'aqila' gawah

    'surayya' ki guDiya ka dekho byah

    wo 'raziya' ko qazi banaya gaya

    wo nausha ko mahfil mein laya gaya

    wo qazi waraq ek ulaTne lage

    baraati sab ek ja simaTne lage

    qazi ji nikah paDhate hain

    musammat-e-gul duKHtar-e-shaiKH 'KHar'

    ba-mahr-e-muajjal bayasi hazar

    gulistan ka moti samundar ka phul

    kaho bhai guDDe ye shadi qubul

    chhohaaron ki taqsim

    paDha kar uThe jaise qazi nikah

    kisi ne chhohaaron ki de di salah

    chhohaaron ki thaali luTai gai

    shakar bhi maze le ke khai gai

    kisi ne chhohaaron se Topi bhari

    shakar bhi kahin KHub phanki gai

    magar ek sahab kamand-e-hawa

    kahen kis se apna ajab majra

    ye har chand bachpan ke hushiyar the

    chhohaaron ki luTTas pe tayyar the

    magar bhiD mein aise kuchh ye dabe

    ki har panw ke niche kuchle gae

    paTa-paT chhohaare baraste rahe

    magar ye bichaare taraste rahe

    koi nak par koi sar par laga

    magar un ke munh tak na koi gaya

    shakar aankh aur kan mein ghus gai

    bichaare ki puri hi durgat bani

    natija ye sab jald-bazi ka tha

    ki in ka maza kirkira ho gaya

    dulhan ki ruKHsati

    wo chhoTa sa ek box laya gaya

    miyana jise tha banaya gaya

    sawari ye dulhan ki thi aa gai

    wo baiThi dulhan wo hui ruKHsati

    kahaar apne kandhe badalte chale

    miyane pe dulha ki dulhan liye

    kuDum-dhum kuDum-dhum chali phir baraat

    lagi gunjne gane baje se raat

    anar aur chhachhundar chhuTate hue

    nichhawar ke paise luTate hue

    sahar hote hote makan aa gae

    dulhan le ke guDDe miyan aa gae

    baraat wapas aa kar

    yahi mehmanon mein hai guftugu

    ki dulhan hai be-shak baDi KHub-ru

    saliqe ke sasural wale bhi hain

    dikhawa nahin mal wale bhi hain

    ye sardi ki subh aur sardi ki sham

    magar qabil-e-dad har intizam

    ye bartan ye kapDe ye kursi ye mez

    mila hai bahut KHubsurat jahez

    sada phir wo 'annu' ki aane lagi

    fazaon mein masti luTane lagi

    nai zindagani mubarak rahe

    mubarak ye shadi mubarak rahe

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now