Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul-farosh

Nazeer Mirza Barlas

gul-farosh

Nazeer Mirza Barlas

MORE BYNazeer Mirza Barlas

    ye nāznīñ ki jise qāsid-e-bahār kaheñ

    javāñ hasīna ki fitrat shāhkār kahīñ

    payām-e-āmad-e-fasl-e-bahār detī hai

    junūñ-nasīb diloñ duā.eñ letī hai

    ise chaman ke har ik phuul se mohabbat hai

    ise bahār ra.anā.iyoñ se ulfat hai

    guloñ meñ phirtī hai yuuñ jaise tītarī koī

    chaman sair kare hasīñ parī koī

    jo phuul chunte hue naġhme gungunātī hai

    ye shāyad apnī javānī ke giit gaatī hai

    shabāb ne jo ise tamkanat sikhā hai

    ġharīb sahī phūloñ shāhzādī hai

    jahān vāloñ husn-e-sulūk dekhā hai

    ise zamāne be-rahmiyoñ se shikva hai

    guzar rahe haiñ shab-o-roz kitne bhārī se

    shabāb kaaT rahī hai hazār ḳhvārī se

    ḳhudī dars hai afsāna-e-hayāt is

    javāb paidā karegī na kā.enāt is

    ise zamāne nairañgiyoñ hosh nahīñ

    mirī nazar meñ ye devī hai gul-farosh nahīñ

    sitam-zarīfī-e-fitrat ko aaj sharmā.ūñ

    jo haar gūñdhe haiñ aaj usī ko pahnā.ūñ

    ye naznin ki jise qasid-e-bahaar kahen

    jawan hasina ki fitrat ka shahkar kahin

    payam-e-amad-e-fasl-e-bahaar deti hai

    junun-nasib dilon ki duaen leti hai

    ise chaman ke har ek phul se mohabbat hai

    ise bahaar ki ranaiyon se ulfat hai

    gulon mein phirti hai yun jaise titari koi

    chaman ki sair kare ya hasin pari koi

    jo phul chunte hue naghme gungunati hai

    ye shayad apni jawani ke git gati hai

    shabab ne jo ise tamkanat sikha di hai

    gharib hi sahi phulon ki shahzadi hai

    jahan walon ka husn-e-suluk dekha hai

    ise zamane ki be-rahmiyon se shikwa hai

    guzar rahe hain shab-o-roz kitne bhaari se

    shabab kaT rahi hai hazar KHwari se

    KHudi ka dars hai afsana-e-hayat is ka

    jawab paida karegi na kaenat is ka

    ise zamane ki nairangiyon ka hosh nahin

    meri nazar mein ye dewi hai gul-farosh nahin

    sitam-zarifi-e-fitrat ko aaj sharmaun

    jo haar gundhe hain aaj usi ko pahnaun

    Source:

    Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 1052)

    • Author: Dr. Abdul Wahid
      • Publisher: Feroz sons Printers Publishers and Stationers
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now