ghulami aasmanon se nahin utri
Daro us vaqt se
tāñge ke aage
bhāgte ghoḌoñ ko
jab āñkhoñ pe pahne khopoñ se
bāhar nazar aane lagegā
aur vo chābuk chalāte kochvānoñ ke dikhā.e
rāstoñ ko chhoḌ kar
apnī manāzil apne raste ḳhud banā.eñge
tab un par chābukeñ jitnī paḌeñ sab be-asar hoñgī
Daro us vaqt se
piñjre meñ baiThe sabz tote
apne mālik kī raTā.ī boliyoñ ko bhuul kar
jab aise aise lafz sīkheñge
jinheñ paḌhte hī
lohe kī salāḳheñ Tuut jaatī haiñ
Daro us vaqt se
circus ke sheroñ ko
jab ik din jangaloñ kī
pur-fazā āzād duniyā yaad aa.egī
to vo apne hī trainer ko dabocheñge
aur us kī shāh-rag meñ daañt gāḌeñge
Daro us vaqt se
ai bālā-dasto
jab tumhāre zer-dastoñ ko
samajh aa jā.egī
un par ġhulāmī āsmānoñ se nahīñ utrī
Daro us waqt se
tange ke aage
bhagte ghoDon ko
jab aankhon pe pahne khopon se
bahar nazar aane lagega
aur wo chabuk chalate kochwanon ke dikhae
raston ko chhoD kar
apni manazil apne raste KHud banaenge
tab un par chabuken jitni paDen sab be-asar hongi
Daro us waqt se
pinjre mein baiThe sabz tote
apne malik ki raTai boliyon ko bhul kar
jab aise aise lafz sikhenge
jinhen paDhte hi
lohe ki salaKHen Tut jati hain
Daro us waqt se
circus ke sheron ko
jab ek din jangalon ki
pur-faza aazad duniya yaad aaegi
to wo apne hi trainer ko dabochenge
aur us ki shah-rag mein dant gaDenge
Daro us waqt se
ai baala-dasto
jab tumhaare zer-daston ko
samajh aa jaegi
un par ghulami aasmanon se nahin utri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.