hum baghban sare hindostan chaman hai

hum baghban sare hindostan chaman hai
Mohammad Shafiuddin Nayyar
MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar
ham bāġhbān saare hindostāñ chaman hai
bachche haiñ is ke ham sab ye māder-e-vatan hai
hindū hoñ yā musalmāñ īsā.ī hoñ ki sikh hoñ
sab haath paañv is ke hindostāñ badan hai
is kā har ek chappa motī ugal rahā hai
ye sarzamīn saarī firdaus hai adan hai
daulat ubal rahī hai har khet hai ḳhazāna
ye ruuī hai ye chāval ye chaa.e hai ye san hai
har chiiz meñ hai is kī ik shān-e-dilrubā.ī
dariyā pahāḌ jangal har shai meñ bāñkpan hai
phuul is ke ḳhūbsūrat jāñ-baḳhsh in kī nig.hat
champā hai motiyā hai belā hai yāsman hai
phal is ke mīThe-mīThe ḳhush-zā.eqa rasīle
shahd-o-shakar kī goyā ek nahr maujzan hai
phūlī huī vo sarsoñ khetoñ meñ piilī piilī
goyā ki zard chādar oḌhe hue dulhan hai
vo jeTh kā pasīna sāvan kā phir mahīna
sabze kī hai ye kasrat har khet ik chaman hai
hai gā rahī vo koyal aamoñ kī Daalī Daalī
meñh meñ nahā nahā kar vo mast hai magan hai
kyoñ hind ko na chāheñ hubb-e-vatan hai īmāñ
is sarzamīñ pe sadqe sab apnā jān-o-tan hai
hum baghban sare hindostan chaman hai
bachche hain is ke hum sab ye mader-e-watan hai
hindu hon ya musalman isai hon ki sikh hon
sab hath panw is ke hindostan badan hai
is ka har ek chappa moti ugal raha hai
ye sarzamin sari firdaus hai adan hai
daulat ubal rahi hai har khet hai KHazana
ye rui hai ye chawal ye chae hai ye san hai
har chiz mein hai is ki ek shan-e-dilrubai
dariya pahaD jangal har shai mein bankpan hai
phul is ke KHubsurat jaan-baKHsh in ki nighat
champa hai motiya hai bela hai yasman hai
phal is ke miThe-miThe KHush-zaeqa rasile
shahd-o-shakar ki goya ek nahr maujzan hai
phuli hui wo sarson kheton mein pili pili
goya ki zard chadar oDhe hue dulhan hai
wo jeTh ka pasina sawan ka phir mahina
sabze ki hai ye kasrat har khet ek chaman hai
hai ga rahi wo koyal aamon ki Dali Dali
meinh mein naha naha kar wo mast hai magan hai
kyon hind ko na chahen hubb-e-watan hai iman
is sarzamin pe sadqe sab apna jaan-o-tan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.