ham-zad

Shaz Tamkanat

ham-zad

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

  vo ik shaḳhs jis shabāhat se mujh ko

  bahut ḳhvār o sharminda honā paḌā thā

  qabā ruuh malgajī ho ga.ī thī

  ka.ī baar dāman ko dhonā paḌā thā

  vo mujh jaisī āñkheñ jabīñ hoñT abrū

  ki baaqī na thā kuchh bhī farq-e-man-o-tū

  vahī chaal āvāz qad rañg maddham

  vahī tarz-e-guftār Thahrāo kam kam

  ḳhudā jaane kyā kyā mashāġhil the us ke

  mire paas log aa.e aa aa ke lauTe

  ka.ī mujh se uljhe ka.ī mujh se jhagḌe

  maiñ rotā rahā be-gunāhī ronā

  mire jurm par log the qahqaha-zan

  na kaam aayā apnī tabāhī ronā

  vo zulmat meñ chhup chhup ke din kāTtā thā

  maiñ din ke ujāle meñ maarā gayā thā

  sunā raat vo mar gayā kyā ġhazab hai

  use dafn kar aa.e logoñ ko dekho

  maiñ kam-baḳht nazroñ se ojhal kab thā

  ye kyā kar diyā haa.e logoñ ko dekho

  wo ek shaKHs jis ki shabahat se mujh ko

  bahut KHwar o sharminda hona paDa tha

  qaba ruh ki malgaji ho gai thi

  kai bar daman ko dhona paDa tha

  wo mujh jaisi aankhen jabin honT abru

  ki baqi na tha kuchh bhi farq-e-man-o-tu

  wahi chaal aawaz qad rang maddham

  wahi tarz-e-guftar Thahrao kam kam

  KHuda jaane kya kya mashaghil the us ke

  mere pas log aae aa aa ke lauTe

  kai mujh se uljhe kai mujh se jhagDe

  main rota raha be-gunahi ka rona

  mere jurm par log the qahqaha-zan

  na kaam aaya apni tabahi ka rona

  wo zulmat mein chhup chhup ke din kaTta tha

  main din ke ujale mein mara gaya tha

  suna raat wo mar gaya kya ghazab hai

  use dafn kar aae logon ko dekho

  main kam-baKHt nazron se ojhal hi kab tha

  ye kya kar diya hae logon ko dekho

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque

  Ham-zad -Shaz Tamkanat Nomaan Shauque

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY