aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein school jaana hai

Zafar Kamali

hamein school jaana hai

Zafar Kamali

MORE BYZafar Kamali

    ye mausam hai umañgoñ tarañgoñ zamāna hai

    chaman ke phuul haiñ ham kaam apnā muskurānā hai

    qadam jo bhī uThānā hai taraqqī uThānā hai

    sitāroñ tarah ik din falak par jagmagānā hai

    gale meñ Daal kar bāñheñ ḳhushī ke giit gaanā hai

    hameñ schōl jaanā hai hameñ schōl jaanā hai

    mile aadhī agar roTī to ham utnī khā.eñge

    musībat jo paḌe sar par ḳhushī se jhel jā.eñge

    jo paḌhnā siikh jā.eñge to auroñ ko paḌhā.eñge

    jo raste meñ bhaTakte haiñ unheñ manzil dikhā.eñge

    mohabbat diyā har moḌ par ham ko jalānā hai

    hameñ schōl jaanā hai hameñ schōl jaanā hai

    nahīñ hai ilm se baḌh kar jahāñ meñ koī bhī daulat

    yahī hai nuur āñkhoñ diloñ hai yahī rāhat

    ye vo shai hai lagā saktā nahīñ jis koī qīmat

    baġhair is ke na mil pā.egī duniyā meñ koī izzat

    uTho jaldī agar ta.alīm dariyā bahānā hai

    hameñ schōl jaanā hai hameñ schōl jaanā hai

    jahālat añdherā aql se ma.azūr kartā hai

    jo dil aañkh hai us ko yahī be-nūr kartā hai

    banā detā hai ye shaitāñ ḳhudā se duur kartā hai

    hameñ dar dar bhaTakne ke liye majbūr kartā hai

    jise ta.alīm kahte haiñ ki vo hikmat ḳhazāna hai

    hameñ schōl jaanā hai hameñ schōl jaanā hai

    ye mausam hai umangon ka tarangon ka zamana hai

    chaman ke phul hain hum kaam apna muskurana hai

    qadam jo bhi uThana hai taraqqi ka uThana hai

    sitaron ki tarah ek din falak par jagmagana hai

    gale mein Dal kar banhen KHushi ke git gana hai

    hamein school jaana hai hamein school jaana hai

    mile aadhi agar roTi to hum utni hi khaenge

    musibat jo paDe sar par KHushi se jhel jaenge

    jo paDhna sikh jaenge to auron ko paDhaenge

    jo raste mein bhaTakte hain unhen manzil dikhaenge

    mohabbat ka diya har moD par hum ko jalana hai

    hamein school jaana hai hamein school jaana hai

    nahin hai ilm se baDh kar jahan mein koi bhi daulat

    yahi hai nur aankhon ka dilon ki hai yahi rahat

    ye wo shai hai laga sakta nahin jis ki koi qimat

    baghair is ke na mil paegi duniya mein koi izzat

    uTho jaldi agar talim ka dariya bahana hai

    hamein school jaana hai hamein school jaana hai

    jahaalat ka andhera aql se mazur karta hai

    jo dil ki aankh hai us ko yahi be-nur karta hai

    bana deta hai ye shaitan KHuda se dur karta hai

    hamein dar dar bhaTakne ke liye majbur karta hai

    jise talim kahte hain ki wo hikmat ka KHazana hai

    hamein school jaana hai hamein school jaana hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now