har baras main
har baras maiñ pichhle barsoñ meñ bhaTak jaatā huuñ
maazī meñ tere hāthoñ meñ kāġhaz kī safedī huuñ
maiñ kin lamhāt kī guzrī savāneh huuñ ki terā saañs
mere mausamoñ meñ dhuñd kī chādar banā hai
uñgliyoñ kī shāḳh us tahrīr ke alfāz par
paanī kī narmāhaT se hiltī hai
mirī āñkheñ ishāroñ ke kināroñ par khaḌī
āvāz kī tanhā.ī meñ
hoñToñ kī lambī sīḌhiyoñ par dam-ba-ḳhud
palkoñ kī jumbish meñ
kuñ.eñ kī sabz kaa.ī kī tarah zinda haiñ
aur vīrān
kaise qāfile jismoñ ke sahrāoñ kī jānib chal paḌe
ḳhvāhish ke gūñge haath meñ
qurbat kī mailī dhajjiyāñ haiñ
har baras guzre hue barsoñ kī dīvāroñ ke raḳhnoñ meñ
mire sab ḳhāl-o-ḳhat bharte ga.e
gārāne haiñ
ab mirī sāñsoñ meñ īñToñ kī qatāreñ haiñ
mire māthe pe ḳhud-rav ghaas kā jañgal basā hai
aur merī nīndeñ syāhī kī jaḌoñ meñ duur gahrī haiñ
mire sapne kisī be-chehra aurat kī ziyārat ke liye
muddat huī ghar se ga.e haiñ
har baras maiñ apne aadhe jism kī taz.īn kartā huuñ
libādoñ meñ lipaT kar
apne hone kī gavāhī ke kināroñ tak pahuñchtā huuñ
har baras main pichhle barson mein bhaTak jata hun
mazi mein tere hathon mein kaghaz ki safedi hun
main kin lamhat ki guzri sawaneh hun ki tera sans
mere mausamon mein dhund ki chadar bana hai
ungliyon ki shaKH us tahrir ke alfaz par
pani ki narmahaT se hilti hai
meri aankhen ishaaron ke kinaron par khaDi
aawaz ki tanhai mein
honTon ki lambi siDhiyon par dam-ba-KHud
palkon ki jumbish mein
kunen ki sabz kai ki tarah zinda hain
aur viran
kaise qafile jismon ke sahraon ki jaanib chal paDe
KHwahish ke gunge hath mein
qurbat ki maili dhajjiyan hain
har baras guzre hue barson ki diwaron ke raKHnon mein
mere sab KHal-o-KHat bharte gae
garane hain
ab meri sanson mein inTon ki qataren hain
mere mathe pe KHud-raw ghas ka jangal basa hai
aur meri ninden syahi ki jaDon mein dur gahri hain
mere sapne kisi be-chehra aurat ki ziyarat ke liye
muddat hui ghar se gae hain
har baras main apne aadhe jism ki tazin karta hun
libaadon mein lipaT kar
apne hone ki gawahi ke kinaron tak pahunchta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.