Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har jaanib hain

Majeed Amjad

har jaanib hain

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    har jānib haiñ diloñ zamīroñ meñ kaale tūfānoñ vaale lafz hazāroñ ghanī bhavoñ ke nīche

    ghaat meñ

    ab to mere laboñ tak aa bhī harf-e-zinda

    har jānib galiyoñ ke daldalī tālāboñ meñ be-satar hirāsāñ khaḌī haiñ rūheñ

    qadam khube haiñ niile kīchaḌ meñ aur un Dūbtī nazroñ meñ ik baar zarā terī thī un zindagī

    abhī abhī ik pal ko

    aur ab phir kaale tūfāñ vaale lafz un ke liye jaane kyā kyā sandese laa.e haiñ

    un ko zinda rakhiyo harf-e-zinda

    muddatoñ se be-yād hai mere nisyānoñ meñ ai harf zinda

    ab mere laboñ par aa bhī

    ab jab mere dekhte dekhte kaale tūfāñ vaale lafzoñ aabī farsh

    ik

    bichh bichh gayā hai duur ufuq ke pīchhe kahīñ in pāniyoñ tak jin par ik nāḳhudā paiġhambar duāoñ

    ke bajre taire the

    mere nisyānoñ meñ jahanda harf-e-zinda

    tere mānoñ meñ mavvāj haiñ vo sab ilm jo rūhoñ ko khate haiñ us ik ghaaT samt

    jahāñ ummīd aur ḳhauf ke DāñDe mil jaate haiñ

    ab to saarī duniyā meñ se jis ik shaḳhs ko Dūbnā hai vo maiñ huuñ

    ab to saarī duniyā meñ vo shaḳhs jo tair ke bach niklegā maiñ huuñ

    har jaanib hain dilon zamiron mein kale tufanon wale lafz hazaron ghani bhawon ke niche

    ghat mein

    ab to mere labon tak aa bhi harf-e-zinda

    har jaanib galiyon ke daldali talabon mein be-satar hirasan khaDi hain ruhen

    qadam khube hain nile kichaD mein aur un ki Dubti nazron mein ek bar zara teri thi un ki zindagi

    abhi abhi ek pal ko

    aur ab phir kale tufan wale lafz un ke liye jaane kya kya sandese lae hain

    un ko zinda rakhiyo harf-e-zinda

    muddaton se be-yaad hai tu mere nisyanon mein ai harf zinda

    ab tu mere labon par aa bhi

    ab jab mere dekhte dekhte kale tufan wale lafzon ka aabi farsh

    ek

    bichh bichh gaya hai dur ufuq ke pichhe kahin in paniyon tak jin par ek naKHuda paighambar ki duaon

    ke bajre taire the

    mere nisyanon mein jahanda harf-e-zinda

    tere manon mein mawwaj hain wo sab ilm jo ruhon ko khate hain us ek ghaT ki samt

    jahan ummid aur KHauf ke DanDe mil jate hain

    ab to sari duniya mein se jis ek shaKHs ko Dubna hai wo main hun

    ab to sari duniya mein wo shaKHs jo tair ke bach niklega main hun

    Source:

    Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 707)

    • Author: Majiid Amjad
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot (p) Ltd.
      • Year of Publication: 2011

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now