harf-e-awwal
harf-e-avval huuñ
na
maiñ āḳhir huuñ
bhuul jā.egā
zamāna mujh ko
koī hairat nahīñ
tum bhuul bhī jaao mujh ko
kaun rakhtā hai
kise yaad yahāñ
merī tārīḳh-e-fanā yaad rahegī kis ko
sach kahāñ likhtā hai
tārīḳh kā likhne vaalā
vo to likhtā hai fasānoñ ko
haqīqat aksar
zinda logoñ ko vo likh detā hai
mūrat aksar
sach kahāñ likhtā hai
likhtā hai zarūrat aksar
vo ḳhayālāt ko
tashkīl na.ī detā hai
jabr ke rang ko
tamsīl na.ī detā hai
varna sach baat kahīñ aur nihāñ hotī hai
ghup añdheroñ meñ kahīñ
malgajī shaam
ġham saveroñ meñ kahīñ
vaqt ke saaz pe
ik zinda fuġhāñ hotī hai
aag hai garche haqīqat meñ
dhuāñ hotī hai
jhuuT ke shahr meñ kab sach kī dukāñ hotī hai
harf-e-awwal hun
na
main aaKHir hun
bhul jaega
zamana mujh ko
koi hairat nahin
tum bhul bhi jao mujh ko
kaun rakhta hai
kise yaad yahan
meri tariKH-e-fana yaad rahegi kis ko
sach kahan likhta hai
tariKH ka likhne wala
wo to likhta hai fasanon ko
haqiqat aksar
zinda logon ko wo likh deta hai
murat aksar
sach kahan likhta hai
likhta hai zarurat aksar
wo KHayalat ko
tashkil nai deta hai
jabr ke rang ko
tamsil nai deta hai
warna sach baat kahin aur nihan hoti hai
ghup andheron mein kahin
malgaji sham
gham saweron mein kahin
waqt ke saz pe
ek zinda fughan hoti hai
aag hai garche haqiqat mein
dhuan hoti hai
jhuT ke shahr mein kab sach ki dukan hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.