hari ghas par
chale aa.e ho tum
qatāroñ meñ
aur maiñ harī ghaas par
utartī huī dhuup kī aatmā ban
tumheñ alvidā'ī ishāroñ meñ
kuchh kah rahā huuñ
samajhte nahīñ ho
ki andhe kueñ kā ujālā
koī aur shai hai
mujhe duur hī is se rakkho
añdhere se
ik lamhe kā thā ta'alluq
magar
is ta'alluq kā matlab to aisā nahīñ hai
ki ik nuqta
jo raushnī DhūñDtā ho
use kaalī chādar se Dhak do
harī ghaas par
utartī huī dhuup kī aatmā ban
tumheñ duur se
alvidā'ī ishāroñ meñ kuchh kah rahā huuñ
ishāroñ ko samjho
chale aae ho tum
qataron mein
aur main hari ghas par
utarti hui dhup ki aatma ban
tumhein alwida'i ishaaron mein
kuchh kah raha hun
samajhte nahin ho
ki andhe kuen ka ujala
koi aur shai hai
mujhe dur hi is se rakkho
andhere se
ek lamhe ka tha ta'alluq
magar
is ta'alluq ka matlab to aisa nahin hai
ki ek nuqta
jo raushni DhunDta ho
use kali chadar se Dhak do
hari ghas par
utarti hui dhup ki aatma ban
tumhein dur se
alwida'i ishaaron mein kuchh kah raha hun
ishaaron ko samjho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.