hasin aag
Interesting Fact
Dedicated to his wife Safia
terī peshānī-e-rañgīñ meñ jhalaktī hai jo aag
tere ruḳhsār ke phūloñ meñ damaktī hai jo aag
tere siine meñ javānī kī dahaktī hai jo aag
zindagī kī ye hasīñ aag mujhe bhī de de
terī āñkhoñ meñ farozāñ haiñ javānī ke sharār
lab-e-gul-rañg pe raqsāñ haiñ javānī ke sharār
terī har saañs meñ ġhaltāñ haiñ javānī ke sharār
zindagī kī ye hasīñ aag mujhe bhī de de
har adā meñ hai javāñ ātish-e-jazbāt kī rau
ye machalte hue sho.ale ye taḌaptī huī lau
aa mirī ruuh pe bhī Daal de apnā partav
zindagī kī ye hasīñ aag mujhe bhī de de
kitnī mahrūm nigāheñ haiñ tujhe kyā ma.alūm
kitnī tarsī huī bāheñ haiñ tujhe kyā ma.alūm
kaisī dhundlī mirī rāheñ haiñ tujhe kyā ma.alūm
zindagī kī ye hasīñ aag mujhe bhī de de
aa ki zulmat meñ koī nuur kā sāmāñ kar luuñ
apne tārīk shabistāñ ko shabistāñ kar luuñ
is añdhere meñ koī sham.a farozāñ kar luuñ
zindagī kī ye hasīñ aag mujhe bhī de de
bār-e-zulmāt se siine kī fazā hai bojhal
na koī sāz-e-tamannā na koī soz-e-amal
aa ki mash.al se tirī maiñ bhī jalā luuñ mash.al
zindagī kī ye hasīñ aag mujhe bhī de de
teri peshani-e-rangin mein jhalakti hai jo aag
tere ruKHsar ke phulon mein damakti hai jo aag
tere sine mein jawani ki dahakti hai jo aag
zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de
teri aankhon mein farozan hain jawani ke sharar
lab-e-gul-rang pe raqsan hain jawani ke sharar
teri har sans mein ghaltan hain jawani ke sharar
zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de
har ada mein hai jawan aatish-e-jazbaat ki rau
ye machalte hue shoale ye taDapti hui lau
aa meri ruh pe bhi Dal de apna partaw
zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de
kitni mahrum nigahen hain tujhe kya malum
kitni tarsi hui bahen hain tujhe kya malum
kaisi dhundli meri rahen hain tujhe kya malum
zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de
aa ki zulmat mein koi nur ka saman kar lun
apne tarik shabistan ko shabistan kar lun
is andhere mein koi shama farozan kar lun
zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de
bar-e-zulmat se sine ki faza hai bojhal
na koi saz-e-tamanna na koi soz-e-amal
aa ki mashal se teri main bhi jala lun mashal
zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de
- Book : Kulliyat-e-Jaan Nisar Akhtar (Pg. 288)
- Author : Jaan Nisar Akhtar
- Publication : Alhamd Publications (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.