aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa ko aawara kahne walo

Noshi Gilani

hawa ko aawara kahne walo

Noshi Gilani

MORE BYNoshi Gilani

    havā ko āvāra kahne vaalo

    kabhī to socho, kabhī to likkho

    havā.eñ kyuuñ apnī manziloñ se bhaTak ga.ī haiñ

    na un āñkhoñ meñ ḳhvāb koī

    na ḳhvāb meñ intizār koī

    ab un ke saare safar meñ sub.h-e-yaqīn koī

    na shām-e-sad-e'tibār koī

    na un apnī zamīn koī na āsmāñ par koī sitāra

    na koī mausam na koī ḳhushbū isti.āra

    na raushnī lakīr koii, na un apnā safīr koī

    jo un ke dukh par kitāb likkhe

    musāfirat azaab likhe

    havā ko āvāra kahne vaalo

    kabhī to socho!

    hawa ko aawara kahne walo

    kabhi to socho, kabhi to likkho

    hawaen kyun apni manzilon se bhaTak gai hain

    na un ki aankhon mein KHwab koi

    na KHwab mein intizar koi

    ab un ke sare safar mein subh-e-yaqin koi

    na sham-e-sad-e'tibar koi

    na un ki apni zamin koi na aasman par koi sitara

    na koi mausam na koi KHushbu ka istiara

    na raushni ki lakir koi, na un ka apna safir koi

    jo un ke dukh par kitab likkhe

    musafirat ka azab likhe

    hawa ko aawara kahne walo

    kabhi to socho!

    Source:

    Mohabbatein Jab Shumar Karna (Pg. 93)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now