Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hayat-e-jawidan

Takmiil Rizvi Lakhnavi

hayat-e-jawidan

Takmiil Rizvi Lakhnavi

MORE BYTakmiil Rizvi Lakhnavi

    hai jin meñ zauq-e-āzādī vo zindānoñ meñ rahte haiñ

    vahī bastī basāte haiñ jo vīrānoñ meñ rahte haiñ

    sukūñ maqsūd hai jin ko unheñ jiinā nahīñ aatā

    shu.ūr-e-zindagī jin meñ hai tūfānoñ meñ rahte haiñ

    miTā kar apnī hastī dars de jaate haiñ aalam ko

    shahīdān-e-vafā ke zikr afsānoñ meñ rahte haiñ

    tabī.at kis qadar āzād hai in marne vāloñ

    ki jin ḳhaak ke zarre bayābānoñ meñ rahte haiñ

    hayāt-e-jāvidāñ miltī hai hastī ke miTāne se

    masarrat un hissa hai jo ġham-ḳhānoñ meñ rahte haiñ

    jo soz-e-ishq rakhte haiñ lagī rahtī hai lau un ko

    tajallī DhūñDne vaale parvānoñ meñ rahte haiñ

    jasārat zauq-e-nazzāra paidā kar nigāhoñ meñ

    numūd-e-husn ke anvār paimānoñ meñ rahte haiñ

    vo ham-mashrab vo ham-sohbat jinheñ apnā samajhte the

    misāl-e-sabza-e-begāna begānoñ meñ rahte haiñ

    qafas dar banā dete haiñ rashk-e-bāb-e-āzādī

    jo ahl-e-hosh haiñ 'takmīl' zindānoñ meñ rahte haiñ

    hai jin mein zauq-e-azadi wo zindanon mein rahte hain

    wahi basti basate hain jo viranon mein rahte hain

    sukun maqsud hai jin ko unhen jina nahin aata

    shuur-e-zindagi jin mein hai tufanon mein rahte hain

    miTa kar apni hasti dars de jate hain aalam ko

    shahidan-e-wafa ke zikr afsanon mein rahte hain

    tabiat kis qadar aazad hai in marne walon ki

    ki jin ki KHak ke zarre bayabanon mein rahte hain

    hayat-e-jawidan milti hai hasti ke miTane se

    masarrat un ka hissa hai jo gham-KHanon mein rahte hain

    jo soz-e-ishq rakhte hain lagi rahti hai lau un ko

    tajalli DhunDne wale hi parwanon mein rahte hain

    jasarat zauq-e-nazzara ki paida kar nigahon mein

    numud-e-husn ke anwar paimanon mein rahte hain

    wo ham-mashrab wo ham-sohbat jinhen apna samajhte the

    misal-e-sabza-e-begana beganon mein rahte hain

    qafas ka dar bana dete hain rashk-e-bab-e-azadi

    jo ahl-e-hosh hain 'takmil' zindanon mein rahte hain

    Source:

    Meer-e-Karwan (Pg. 110)

    • Author: Takmiil Rizvi Lakhnavi
      • Publisher: Takmiil Rizvi Lakhnavi
      • Year of Publication: 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now