hijr
aaj tū paas nahīñ hai to khulā hai mujh par
Daar se kuuñj bichhaḌ jaa.e to kyoñ martī hai
mausam-e-dard kā āñgan meñ utarnā kyā hai
shāḳh se Tuut ke pattoñ kā bikharnā kyā hai
chāñd kyoñ raat ke pahlū meñ burā lagtā hai
sub.h ke saath pe itrātī huī bād-e-nasīm
ek bebāk hasīna sī burī lagtī hai
lafz kyoñ apne matālib se mukar jaate haiñ
likhnā chāheñ bhī to tanhā.ī likhī jaatī nahīñ
karnā chāheñ bhī to ye dard bayāñ hotā nahīñ
raat hote hī charāġhoñ ko bujhā denā kyoñ
qaid-e-furqat ke asīroñ ko bhalā lagtā hai
hijr kā lambā safar kaaTe se kyoñ kaTtā nahīñ
paañv kaT jaate haiñ par raat kā thar kaTtā nahīñ
aaj tū paas nahīñ hai to khulā hai mujh pe
Daar se kuuñj bichhaḌ jaa.e to kyoñ martī hai
aaj tu pas nahin hai to khula hai mujh par
Dar se kunj bichhaD jae to kyon marti hai
mausam-e-dard ka aangan mein utarna kya hai
shaKH se Tut ke patton ka bikharna kya hai
chand kyon raat ke pahlu mein bura lagta hai
subh ke sath pe itraati hui baad-e-nasim
ek bebak hasina si buri lagti hai
lafz kyon apne matalib se mukar jate hain
likhna chahen bhi to tanhai likhi jati nahin
karna chahen bhi to ye dard bayan hota nahin
raat hote hi charaghon ko bujha dena kyon
qaid-e-furqat ke asiron ko bhala lagta hai
hijr ka lamba safar kaTe se kyon kaTta nahin
panw kaT jate hain par raat ka thar kaTta nahin
aaj tu pas nahin hai to khula hai mujh pe
Dar se kunj bichhaD jae to kyon marti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.