Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr ka visal

Faheem Jozi

hijr ka visal

Faheem Jozi

MORE BYFaheem Jozi

    yuuñ to sab ke apne apne ḳhvāb haiñ

    jaise apnā apnā kafan

    aur kaun kis ke kafan utran pahan saktā hai

    lekin vo jo ik duuje qabr meñ so jaane

    ḳhvāhish meñ dafn hue

    apne apne akele-pan uḌtī miTTī meñ

    kyā un ke bhī apne apne ḳhvāb the

    aao ham ik-dūje ḳhvāboñ tavīl ghūmtī bhūl-bhulayyoñ vaalī ġhulām gardishoñ meñ kho jaa.eñ

    aur ek dūsre chaap sadā-e-bāzgasht ban jaa.eñ

    aao ham ek fareb ke pīchhe bhāgne koshish kareñ

    aur azal aur abad tanābeñ khīñch kar

    ek saath

    frēze frame ho jaa.eñ

    phir bhī sach hai

    ki sab ke apne apne ḳhvāb haiñ

    adhūre adhūre

    halkī halkī aañch meñ sulagte

    raakh hote

    aur patjhaḌ meñ uḌte

    aur aañsū kab tak patjhaḌ sañvār sakte haiñ

    jab tak aañsū dil meñ girte rahte haiñ

    dil un ko sukhī dinoñ aas dilā kar

    thapak thapak kar sulātā rahtā hai

    aur saarī tapish jazb kar letā hai apnī dhaḌaktī ḳhāmosh rātoñ meñ

    lekin jab koī ziddī aañsū

    apne aap se ruuTh ke

    gir paḌtā hai

    tab to dil bhī nahīñ māntā koī phuslāva

    bas aañsū bahne lagte haiñ chup-chāp

    patjhaḌ ke pattoñ tarah

    thake thake qadmoñ mānind

    pyāre kyā koī aisā bhī din hogā

    jab ye din aa jā.egā

    aur tab

    dil kitne sogvār ho jā.eñge

    aur hamāre TuuTe phūTe chehre ek dūsre ko

    kaisī khoī khoī nazroñ se dekheñge

    sākit ho jā.eñge abad ke chaukhaTe meñ

    aur pas-e-manzar meñ saxophone siskiyāñ ubhareñgī

    aur ek shikasta ḳhvāb melody meñ Dhal jā.eñgī

    phir bhī sach hai

    ki sab ke apne apne ḳhvāb hote haiñ

    lekin vo bhī to sach hai pyāre

    yun to sab ke apne apne KHwab hain

    jaise apna apna kafan

    aur kaun kis ke kafan ki utran pahan sakta hai

    lekin wo jo ek duje ki qabr mein so jaane ki

    KHwahish mein dafn hue

    apne apne akele-pan ki uDti miTTi mein

    kya un ke bhi apne apne KHwab the

    aao hum ik-duje ki KHwabon ki tawil ghumti bhul-bhulayyon wali ghulam gardishon mein kho jaen

    aur ek dusre ki chap ki sada-e-bazgasht ban jaen

    aao hum ek hi fareb ke pichhe bhagne ki koshish karen

    aur azal aur abad ki tanaben khinch kar

    ek sath

    freeze frame ho jaen

    phir bhi sach hai

    ki sab ke apne apne KHwab hain

    adhure adhure

    halki halki aanch mein sulagte

    rakh hote

    aur patjhaD mein uDte

    aur aansu kab tak patjhaD sanwar sakte hain

    jab tak aansu dil mein girte rahte hain

    dil un ko sukhi dinon ki aas dila kar

    thapak thapak kar sulata rahta hai

    aur sari tapish jazb kar leta hai apni dhaDakti KHamosh raaton mein

    lekin jab koi ziddi aansu

    apne aap se ruTh ke

    gir paDta hai

    tab to dil bhi nahin manta koi phuslawa

    bas aansu bahne lagte hain chup-chap

    patjhaD ke patton ki tarah

    thake thake qadmon ki manind

    pyare kya koi aisa bhi din hoga

    jab ye din aa jaega

    aur tab

    dil kitne sogwar ho jaenge

    aur hamare TuTe phuTe chehre ek dusre ko

    kaisi khoi khoi nazron se dekhenge

    sakit ho jaenge abad ke chaukhaTe mein

    aur pas-e-manzar mein saxophone ki siskiyan ubharengi

    aur ek shikasta KHwab ki melody mein Dhal jaengi

    phir bhi sach hai

    ki sab ke apne apne KHwab hote hain

    lekin wo bhi to sach hai pyare

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 195)

      • Publisher: Academy Adabiyat Pakistan, Islamabad
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now