Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr ki andhi raaten

Ejazulhaq Shahab

hijr ki andhi raaten

Ejazulhaq Shahab

MORE BYEjazulhaq Shahab

    kañpkañpātā badan barf ThanDī rāteñ

    ye qayāmat ka.ī muddatoñ lambī rāteñ

    ye sulagte hue jazbāt meñ dahkī rāteñ

    niim kaḌvī karele se kasīlī rāteñ

    kitnī zālim haiñ ye tanhā.ī meñ Duubī rāteñ

    tum pe utrī haiñ kabhī hijr andhī rāteñ

    tum pe utrī nahīñ hijr andhī rāteñ

    mahfileñ chup haiñ kabhī chīḳhtī ḳhāmoshī hai

    hosh meñ rah ke bhī ik ālam-e-mad.hoshī hai

    yaad ke haiñ kabhī nashtar kabhī sargoshī hai

    haa.e phailī havāsoñ pe bhī be-hoshī hai

    hijr ke ḳhauf se haa.e Darī sahmī rāteñ

    tum pe utrī haiñ kabhī hijr andhī rāteñ

    tum pe utrī nahīñ hijr andhī rāteñ

    hai bahārāñ meñ bhī bas ek ḳhizāñ mausam

    jaan lene pe utārū hai mirī vahshat-e-ġham

    ashk dikhte haiñ lahū se bhalā kaisā hai sitam

    tum to kyā jaano mire vahshat-e-dil aalam

    bārish-e-ashk se bhīgī huī giilī rāteñ

    tum pe utrī haiñ kabhī hijr andhī rāteñ

    tum pe utrī nahīñ hijr andhī rāteñ

    ek vo vaqt thā gulshan meñ bahār aa.ī thī

    aarzū vaqt ke ghoḌe pe savār aa.ī thī

    pairāhan ġham ḳhushī pal meñ utaar aa.ī thī

    ab ye lagtā hai jo aa.ī thī udhār aa.ī thī

    lamha lamha mujhe nāgin ye Dastī rāteñ

    tum pe utrī haiñ kabhī hijr andhī rāteñ

    tum pe utrī nahīñ hijr andhī rāteñ

    ek ye vaqt hai bas ālam-e-tanhā.ī hai

    gulshan-e-dil pe faqat ġham ghaTā chhā.ī hai

    haa.e jazbāt mayyat pe pazīrā.ī hai

    kyā yahī maiñ ne vafāoñ jazā paa.ī hai

    kuchh bhī suntī nahīñ haa.e ye berī rāteñ

    tum pe utrī haiñ kabhī hijr andhī rāteñ

    tum pe utrī nahīñ hijr andhī rāteñ

    kanpkanpata sa badan barf si ThanDi raaten

    ye qayamat si kai muddaton lambi raaten

    ye sulagte hue jazbaat mein dahki raaten

    nim si kaDwi karele se kasili raaten

    kitni zalim hain ye tanhai mein Dubi raaten

    tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten

    tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten

    mahfilen chup hain kabhi chiKHti KHamoshi hai

    hosh mein rah ke bhi ek aalam-e-madhoshi hai

    yaad ke hain kabhi nashtar kabhi sargoshi hai

    hae phaili si hawason pe bhi be-hoshi hai

    hijr ke KHauf se hae Dari sahmi raaten

    tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten

    tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten

    hai bahaaran mein bhi bas ek KHizan ka mausam

    jaan lene pe utaru hai meri wahshat-e-gham

    ashk dikhte hain lahu se bhala kaisa hai sitam

    tum to kya jaano mere wahshat-e-dil ka aalam

    barish-e-ashk se bhigi hui gili raaten

    tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten

    tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten

    ek wo waqt tha gulshan mein bahaar aai thi

    aarzu waqt ke ghoDe pe sawar aai thi

    pairahan gham ka KHushi pal mein utar aai thi

    ab ye lagta hai jo aai thi udhaar aai thi

    lamha lamha mujhe nagin si ye Dasti raaten

    tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten

    tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten

    ek ye waqt hai bas aalam-e-tanhai hai

    gulshan-e-dil pe faqat gham ki ghaTa chhai hai

    hae jazbaat ki mayyat pe pazirai hai

    kya yahi main ne wafaon ki jaza pai hai

    kuchh bhi sunti hi nahin hae ye beri raaten

    tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten

    tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now