Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijrat

Ghazanfar

hijrat

Ghazanfar

MORE BYGhazanfar

    vo āġhosh jis meñ pale

    aur pal kar javāñ ham hue haiñ

    use chhoḌne tadābīr karne meñ masrūf aise hue haiñ

    ki zindāñ se qaidī rihā.ī rāhoñ

    ta.amīr karne meñ mashġhūl hote haiñ jaise

    vo āġhosh jis meñ javāñ ham hue haiñ

    use chhoḌ kar duur jaane ke ehsās se

    jo ḳhushī mil rahī hai

    kisī bhī tarah is se kamtar nahīñ hai

    jo zindāñ se bāhar nikalne meñ mahsūs hotī hai zindāniyoñ ko

    ḳhush ye ehsās

    aisā nahīñ ki faqat ek ham tak mahdūd ho

    ye ḳhushī ghar ke dīvār-o-dar meñ bhī ghar kar ga.ī hai

    maañ bahan baap bhaa.ī bhī gardan uThā.e hue

    apne ham-sāyoñ se kahte phirte nazar aa rahe haiñ

    ki merā qamar bhī arab rahā hai

    sharīk-e-safar ragoñ meñ bhī ḳhushiyāñ uchhalne lagī haiñ

    vo rātoñ sab lazzateñ bhuul kar

    jaane vaale taiyāriyoñ meñ

    baḌe chaav se munhamik ho ga.ī hai

    ajab jāñ-fizā hai ye hijrat manzar

    magar ye rivāyat hai

    makke se yasrib ko jaate hue

    mustafā aur saare sahābī bahut ro rahe the

    vatan mohabbat inheñ roktī thī

    judā.ī jigar meñ tabar bhauñktī thī

    vo hijrat manzar baḌā jāñ-gusil thā

    magar aaj hijrat manzar badal gayā hai

    ye manzar to sach-much baḌā jāñ-fizā hai

    magar aisā kyuuñ huā hai

    yahāñ to mazālim vo saḳhtiyāñ bhī nahīñ haiñ

    wo aaghosh jis mein pale

    aur pal kar jawan hum hue hain

    use chhoDne ki tadabir karne mein masruf aise hue hain

    ki zindan se qaidi rihai ki rahon ki

    tamir karne mein mashghul hote hain jaise

    wo aaghosh jis mein jawan hum hue hain

    use chhoD kar dur jaane ke ehsas se

    jo KHushi mil rahi hai

    kisi bhi tarah is se kamtar nahin hai

    jo zindan se bahar nikalne mein mahsus hoti hai zindaniyon ko

    KHush ka ye ehsas

    aisa nahin ki faqat ek hum tak hi mahdud ho

    ye KHushi ghar ke diwar-o-dar mein bhi ghar kar gai hai

    man bahan bap bhai bhi gardan uThae hue

    apne ham-sayon se kahte phirte nazar aa rahe hain

    ki mera qamar bhi arab ja raha hai

    sharik-e-safar ki ragon mein bhi KHushiyan uchhalne lagi hain

    wo raaton ki sab lazzaten bhul kar

    jaane wale ki taiyariyon mein

    baDe chaw se munhamik ho gai hai

    ajab jaan-fiza hai ye hijrat ka manzar

    magar ye riwayat hai

    makke se yasrib ko jate hue

    mustafa aur sare sahabi bahut ro rahe the

    watan ki mohabbat inhen rokti thi

    judai jigar mein tabar bhaunkti thi

    wo hijrat ka manzar baDa jaan-gusil tha

    magar aaj hijrat ka manzar badal sa gaya hai

    ye manzar to sach-much baDa jaan-fiza hai

    magar aisa kyun hua hai

    yahan to mazalim ki wo saKHtiyan bhi nahin hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghazanfar

    Ghazanfar

    Source:

    Aank Mein Luknat (Pg. 117)

    • Author: Ghazanfar
      • Edition: 2015
      • Publisher: Maktaba Jamia Ltd
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now