Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hindi hindustani

Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

hindi hindustani

Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

MORE BYChandar Bhan Kaifi Dehelvi

    sāf-suthrī zabān hindī hai

    ḳhush-bayānī jaan hindī hai

    hindiyoñ nishān hindī hai

    auj meñ āsmān hindī hai

    roz-marra jo bol-chāl hai

    husn vo shoḳhī-e-ḳhayāl hai

    us ke phūloñ tez hai ḳhushbū

    har taraf mushk-rez hai ḳhushbū

    vāqa.ī itr-bez hai ḳhushbū

    ishrat-e-mauj-ḳhez hai ḳhushbū

    shakl kaisī hasīn hai is

    brij-bhāshā zamīn hai is

    kyā milansār hai mizāj is

    sulh-jūī hai kām-kāj is

    saare sansār meñ hai raaj is

    sikka baiThā huā hai aaj is

    marhaTī kuchh hai kuchh hai punjabi

    hai fasāhat meñ nutq-e-ā.arābī

    fārsī sughaḌ sahelī hai

    aur turkī ke saath khelī hai

    jo pasand aa.ī chiiz le hai

    chīstāñ hai kahīñ pahelī hai

    lāl-qil.e meñ begmātī thī

    saath shahzādiyoñ ke jaatī thī

    des-bhar ye ek hai baanī

    hindunī hai na ye musalmānī

    bol sakte haiñ is ko īrānī

    siikh sakte haiñ sab ba-āsānī

    kuchh milī haiñ jo un se sauġhāteñ

    leadiyoñ se haiñ rāt-din bāteñ

    kis qadar bol-chāl hai saada

    'sūr' 'tulsī' the is ke dil-dāda

    kaif-zā hai ye sūrat-e-bāda

    rahā thā 'kabīr' āzāda

    'ras' 'bihārī' the gul-fishāñ is meñ

    ab haiñ 'kaifī' se ḳhush-bayāñ is meñ

    saf-suthri zaban hindi hai

    KHush-bayani ki jaan hindi hai

    hindiyon ka nishan hindi hai

    auj mein aasman hindi hai

    roz-marra jo bol-chaal ka hai

    husn wo shoKHi-e-KHayal ka hai

    us ke phulon ki tez hai KHushbu

    har taraf mushk-rez hai KHushbu

    waqai itr-bez hai KHushbu

    ishrat-e-mauj-KHez hai KHushbu

    shakl kaisi hasin hai is ki

    brij-bhasha zamin hai is ki

    kya milansar hai mizaj is ka

    sulh-jui hai kaam-kaj is ka

    sare sansar mein hai raj is ka

    sikka baiTha hua hai aaj is ka

    marhaTi kuchh hai kuchh hai punjabi

    hai fasahat mein nutq-e-aarabi

    farsi ki sughaD saheli hai

    aur turki ke sath kheli hai

    jo pasand aai chiz le li hai

    chistan hai kahin paheli hai

    lal-qile mein begmati thi

    sath shahzadiyon ke jati thi

    des-bhar ki ye ek hai bani

    hinduni hai na ye musalmani

    bol sakte hain is ko irani

    sikh sakte hain sab ba-asani

    kuchh mili hain jo un se saughaten

    leadiyon se hain raat-din baaten

    kis qadar bol-chaal hai sada

    'sur' 'tulsi' the is ke dil-dada

    kaif-za hai ye surat-e-baada

    pi raha tha 'kabir' aazada

    'ras' 'bihaari' the gul-fishan is mein

    ab hain 'kaifi' se KHush-bayan is mein

    Source:

    Khumnistan-e-kaifi (Pg. B-20 E-51)

    • Author: Chandar Bhan Kaifi Dehelvi
      • Edition: 1951
      • Publisher: Matbua Dilli Printing Works, Delhi
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now