holi
bad-mastī meñ vaqt ne apnī zulfeñ dī haiñ khol
aaj hai apnī is dhartī kā ik ik pal anmol
chehroñ par ye gulāl malā hai yā rādhā muskā.ī
pichkārī meñ rang bharā hai yā bansī ke bol
har karvaT ik naġhma phūTe har aahaT sangīt
naach rahe haiñ mastī meñ sab liye majīrā Dhol
ThanDe sīnoñ se ubhrī jazboñ kī ik aag
us ne kuchh yuuñ holī phūñkī badal gayā māhaul
jaise bhor bha.e madhuban meñ pavan jhakore aa.eñ
panghaT pariyoñ thirak rahī hai rādhā bhar kar Dol
ek rang meñ rang ga.e saare apne aur parā.e
'shādāñ' mausam badal gayā hai apnī āñkheñ khol
bad-masti mein waqt ne apni zulfen di hain khol
aaj hai apni is dharti ka ek ek pal anmol
chehron par ye gulal mala hai ya radha muskai
pichkari mein rang bhara hai ya bansi ke bol
har karwaT ek naghma phuTe har aahaT sangit
nach rahe hain masti mein sab liye majira Dhol
ThanDe sinon se ubhri jazbon ki ek aag
us ne kuchh yun holi phunki badal gaya mahaul
jaise bhor bhae madhuban mein pawan jhakore aaen
panghaT pariyon thirak rahi hai radha bhar kar Dol
ek rang mein rang gae sare apne aur parae
'shadan' mausam badal gaya hai apni aankhen khol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.