Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hujum haT nahin raha

Adnan Mohsin

hujum haT nahin raha

Adnan Mohsin

MORE BYAdnan Mohsin

    hujūm jis Thokaroñ zarb se

    havā meñ hāñptā huā ġhubār chhaT nahīñ rahā

    ġhubār meñ jo ḳhaak hai zamīn se uḌī hai

    kisī ke sard jism se ḳhabar nahīñ

    ḳhabar bhī ho to kyā bigāḌ le koī

    hujūm haT nahīñ rahā

    abad shāḳh-e-sabz par khilā huā

    shabāb gulāb pattiyoñ meñ baT nahīñ rahā

    hujūm be-sukūn hai savāl mar nahīñ rahā

    savāl zabān se juḌā huā jo taar hai

    vo taar kaT nahīñ rahā

    hujūm haT nahīñ rahā

    vo mar gayā

    hujūm us maañ badduā se Dar nahīñ rahā

    hujūm use chipaktī pasliyoñ ke bal ghasīTtā chalā gayā

    kisī ne us ke zaḳhm ko luaab kafan diyā

    koī badan ko lāThiyoñ se pīTtā chalā gayā

    qarīb chand log aks-band kar rahe haiñ

    cameroñ meñ aise khel ko

    ki jis meñ sab khilāḌiyoñ āstīñ pe ḳhuun hai

    hujūm ko junūn hai hujūm haT nahīñ rahā

    maiñ muntazir huuñ ik taraf

    mire aqab meñ chup khaḌī hai ik muhāfizoñ saf

    hujūm haT nahīñ rahā

    hujūm se kaho haTe ġhubār jaane kab chhaTe

    maiñ us ke dard se bhiñche shikasta haath giraft se

    zarā nazm khīñch luuñ

    muhāfizoñ tarjumāñ duā-e-ḳhair meñ magan

    nahīñ nahīñ vo pahle se raTā huā bayān raT nahīñ rahā

    mashāl ḳhaan ḳhair ho

    tamāshā-gāh se to rā.egāñ palaT nahīñ rahā

    hujūm haT nahīñ rahā

    hujum jis ki Thokaron ki zarb se

    hawa mein hanpta hua ghubar chhaT nahin raha

    ghubar mein jo KHak hai zamin se uDi hai ya

    kisi ke sard jism se KHabar nahin

    KHabar bhi ho to kya bigaD le koi

    hujum haT nahin raha

    abad ki shaKH-e-sabz par khila hua

    shabab ka gulab pattiyon mein baT nahin raha

    hujum be-sukun hai sawal mar nahin raha

    sawal ka zaban se juDa hua jo tar hai

    wo tar kaT nahin raha

    hujum haT nahin raha

    wo mar gaya

    hujum us ki man ki baddua se Dar nahin raha

    hujum use chipakti pasliyon ke bal ghasiTta chala gaya

    kisi ne us ke zaKHm ko luab ka kafan diya

    koi badan ko laThiyon se piTta chala gaya

    qarib chand log aks-band kar rahe hain

    cameron mein aise khel ko

    ki jis mein sab khilaDiyon ki aastin pe KHun hai

    hujum ko junun hai hujum haT nahin raha

    main muntazir hun ek taraf

    mere aqab mein chup khaDi hai ek muhafizon ki saf

    hujum haT nahin raha

    hujum se kaho haTe ghubar jaane kab chhaTe

    main us ke dard se bhinche shikasta hath ki giraft se

    zara si nazm khinch lun

    muhafizon ka tarjuman dua-e-KHair mein magan

    nahin nahin wo pahle se raTa hua bayan raT nahin raha

    mashaal KHan KHair ho

    tamasha-gah se to raegan palaT nahin raha

    hujum haT nahin raha

    Source:

    (Pg. 388)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now