ek thake-haare shaKHs ka bayan
ye mīloñ miil kā be-zā.iqa lambā safar achchhā nahīñ lagtā
yahāñ achchhā nahīñ lagtā vahāñ achchhā nahīñ lagtā
maza ye hai ki ab kuchh bhī mujhe achchhā nahīñ lagtā
magar har roz taaza ḳhuun kī gul-kāriyoñ
pichhle pahar ke ḳhvāb kī ayyāriyoñ se tar
kisī zaḳhmī darinde kī karāhoñ se labālab
din nikaltā hai
tulū' hotā huuñ maiñ bhī be-irāda
be-irāda Duub jaatā huuñ
kise mā'lūm ki
mābain-e-sub.h-o-shām jo ye din kā vaqfa hai
ye merī hasti-e-mauhūm kā be-rabt raqs-e-vālehāna hai
ki ġhā.eb-az-nazar
saffāk sehr-e-sāmrī kā kār-nāma hai
to kyā ye tai hai
maiñ dar-asl zinda huuñ
ye milon mil ka be-zaiqa lamba safar achchha nahin lagta
yahan achchha nahin lagta wahan achchha nahin lagta
maza ye hai ki ab kuchh bhi mujhe achchha nahin lagta
magar har roz taza KHun ki gul-kariyon
pichhle pahar ke KHwab ki ayyariyon se tar
kisi zaKHmi darinde ki karahon se labaalab
din nikalta hai
tulu' hota hun main bhi be-irada
be-irada Dub jata hun
kise ma'lum ki
mabain-e-subh-o-sham jo ye din ka waqfa hai
ye meri hasti-e-mauhum ka be-rabt raqs-e-walehana hai
ki ghaeb-az-nazar
saffak sehr-e-samri ka kar-nama hai
to kya ye tai hai
main dar-asl zinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.