Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ilm ke saudagar

Naim Siddiqi

ilm ke saudagar

Naim Siddiqi

MORE BYNaim Siddiqi

    ham ilm ke saudāgar haiñ aur maktab meñ tijārat karte haiñ

    sab karte haiñ tārīf hamārī dil meñ hiqārat karte haiñ

    ham meñ se kuchh aise bhī haiñ jo ilm se bilkul haiñ aarī

    behtar rahtā hote vo agar kisī aur chiiz ke byopārī

    aise bhī haiñ jo auroñ tarah chīzoñ meñ milāvaT karte haiñ

    jo ilm chorī karte haiñ vo jhūTī sajāvaT karte haiñ

    kuchh aise bad-qismat bhī haiñ jo maal to achchhā rakhte haiñ

    aur bech nahīñ sakte is ko ismat tarah bāzāroñ meñ

    tash.hīr ke raaz se nā-vāqif ye sāda-dil be-nām bhī haiñ

    aur jis ko ġhurūr-e-fan kahte haiñ us se kuchh bad-nām bhī haiñ

    hai un ke nasīb meñ farhādī aur hai shīrīñ auroñ ke liye

    kāñToñ taaj hai un ke liye tauq-e-zarrīñ auroñ ke liye

    hum ilm ke saudagar hain aur maktab mein tijarat karte hain

    sab karte hain tarif hamari dil mein hiqarat karte hain

    hum mein se kuchh aise bhi hain jo ilm se bilkul hain aari

    behtar rahta hote wo agar kisi aur hi chiz ke byopari

    aise bhi hain jo auron ki tarah chizon mein milawaT karte hain

    jo ilm ki chori karte hain wo jhuTi sajawaT karte hain

    kuchh aise bad-qismat bhi hain jo mal to achchha rakhte hain

    aur bech nahin sakte is ko ismat ki tarah bazaron mein

    tashhir ke raaz se na-waqif ye sada-dil be-nam bhi hain

    aur jis ko ghurur-e-fan kahte hain us se kuchh bad-nam bhi hain

    hai un ke nasib mein farhadi aur hai shirin auron ke liye

    kanTon ka taj hai un ke liye tauq-e-zarrin auron ke liye

    Source:

    Paimana-e-Imroz (Pg. 32)

    • Author: Naim Siddiqi
      • Publisher: Husami Book Depot, Hyderabad
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now