Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

infiradiyat parast

Shakeb Jalali

infiradiyat parast

Shakeb Jalali

MORE BYShakeb Jalali

    ek insāñ haqīqat kyā hai

    zindagī se use nisbat kyā hai

    āñdhī uTThe to uḌā le jaa.e

    mauj biphre to bahā le jaa.e

    ek insāñ haqīqat kyā hai

    Dagmagā.e to sahārā na mile

    sāmne ho pa kinārā na mile

    ek insāñ haqīqat kyā hai

    kund talvār qalam kar Daale

    sard-sho.ala bhasam kar Daale

    zindagī se use nisbat kyā hai

    ek insāñ haqīqat kyā hai

    ek insan ki haqiqat kya hai

    zindagi se use nisbat kya hai

    aandhi uTThe to uDa le jae

    mauj biphre to baha le jae

    ek insan ki haqiqat kya hai

    Dagmagae to sahaara na mile

    samne ho pa kinara na mile

    ek insan ki haqiqat kya hai

    kund talwar qalam kar Dale

    sard-shoala hi bhasam kar Dale

    zindagi se use nisbat kya hai

    ek insan ki haqiqat kya hai

    Source:

    Kulliyat-e-Shakiib Jalali (Pg. 450)

    • Author: Mohd Nasir Khan
      • Edition: 2007
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now