insan ka dil
dil bhī kyā shai hai ki bholā bhī hai 'ayyār bhī hai
ḳhāksārī kā bhī rang is meñ hai pindār bhī hai
mutaharrik hai kabhī aur kabhī sākin hai
yā'nī ḳhāmosh bhī hai mā.il-e-guftār bhī hai
kufr-o-islām kā is ke nahīñ khultā 'uqda
haath meñ sub.ha bhī hai dosh pe zunnār bhī hai
majlis-e-‘ishq meñ paatā huuñ ise maiñ mad.hosh
mahfil-e-'aql meñ dekhā to ye hushiyār bhī hai
tāzgī chehre pe is ke hai udāsī hai kabhī
is ke āġhosh meñ sahrā bhī hai gulzār bhī hai
hai badī par kabhī maa.il kabhī nekī pe fidā
is kī fitrat meñ nihāñ nuur bhī hai naar bhī hai
dard-o-darmāñ se banā.ī hai baham is kī sarisht
aap ye apnā masīhā bhī hai bīmār bhī hai
kā'be meñ is ko haqīqat kā shanāsā paayā
sanamistāñ meñ ye bātil kā parastār bhī hai
is kī fitrat vo samundar hai ki jis meñ pinhāñ
mauj-e-iqbāl bhī hai varta-e-adbār bhī hai
zāhidī kā asar sajda hai peshānī par
'āshiqī ke liye gul-rang se sarshār bhī hai
hai kabhī ahl-e-tahakkum ke chaman kā gulchīñ
kabhī ahrār kā ye turra-e-dastār bhī hai
kabhī 'isyāñ se gurezāñ kabhī tā'at se nufūr
mustahiq ḳhuld kā dozaḳh kā sazā-vār bhī hai
naaz par hai kabhī āmāda kabhī garm-e-niyāz
be-ḳhabar apnī ḳhudī se hai ḳhabar-dār bhī hai
aañkh zāhir kī jo hai niiñd meñ rahtī hai magan
is ke andar magar ik dīda-e-bedār bhī hai
mudda'ī 'ishq-e-haqīqī kā ye rahtā hai magar
daulat-e-husn-e-majāzī kā ḳharīdār bhī hai
mā'bad-e-amn meñ kartā hai ye sajde paiham
sā'at-e-jang meñ āmāda-e-paikār bhī hai
dil bhi kya shai hai ki bhola bhi hai 'ayyar bhi hai
KHaksari ka bhi rang is mein hai pindar bhi hai
mutaharrik hai kabhi aur kabhi sakin hai
ya'ni KHamosh bhi hai mail-e-guftar bhi hai
kufr-o-islam ka is ke nahin khulta 'uqda
hath mein subha bhi hai dosh pe zunnar bhi hai
majlis-e-‘ishq mein pata hun ise main madhosh
mahfil-e-'aql mein dekha to ye hushiyar bhi hai
tazgi chehre pe is ke hai udasi hai kabhi
is ke aaghosh mein sahra bhi hai gulzar bhi hai
hai badi par kabhi mail kabhi neki pe fida
is ki fitrat mein nihan nur bhi hai nar bhi hai
dard-o-darman se banai hai baham is ki sarisht
aap ye apna masiha bhi hai bimar bhi hai
ka'be mein is ko haqiqat ka shanasa paya
sanamistan mein ye baatil ka parastar bhi hai
is ki fitrat wo samundar hai ki jis mein pinhan
mauj-e-iqbaal bhi hai warta-e-adbar bhi hai
zahidi ka asar sajda hai peshani par
'ashiqi ke liye gul-rang se sarshaar bhi hai
hai kabhi ahl-e-tahakkum ke chaman ka gulchin
kabhi ahrar ka ye turra-e-dastar bhi hai
kabhi 'isyan se gurezan kabhi ta'at se nufur
mustahiq KHuld ka dozaKH ka saza-war bhi hai
naz par hai kabhi aamada kabhi garm-e-niyaz
be-KHabar apni KHudi se hai KHabar-dar bhi hai
aankh zahir ki jo hai nind mein rahti hai magan
is ke andar magar ek dida-e-bedar bhi hai
mudda'i 'ishq-e-haqiqi ka ye rahta hai magar
daulat-e-husn-e-majazi ka KHaridar bhi hai
ma'bad-e-amn mein karta hai ye sajde paiham
sa'at-e-jang mein aamada-e-paikar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.