Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intizar

MORE BYMusavvir Sabzwari

    vo ek panchvaTī vishāl jañgal

    jugoñ jugoñ se jahāñ ik ahilya shilā

    tabāh-kār siyah-fāl bad-duā sila

    burī tarah se hai apne sharāb meñ pāgal

    kabhī ye sochtā hai sañg-o-ḳhisht paikar

    ḳhud us tarah na har rahguzār pathrā jaa.e

    vo lauh-e-harf-e-muqaddar bhī jis pe dhuñdlā jaa.e

    na jaane kitnī sadī tak rahegī ḳhāk-basar

    is aas par take jaatā hai dīda-e-be-nūr

    kabhī to pighlegā ye sañg-e-intizār āḳhir

    kabhī to raam Thokar hogā gun zāhir

    kabhī to hogā rag-e-sañg meñ lahū zuhūr

    magar najāt-dahinda abhī nahīñ aayā

    hazār saal haiñ darkār dīda-var ke liye

    janam janam ke haiñ chakkar na.e safar ke liye

    na jaane 'indra' chalegā ki raam aa.egā

    wo ek panchwaTi ka wishaal sa jangal

    jugon jugon se jahan ek ahilya ki shila

    tabah-kar siyah-fal bad-dua ka sila

    buri tarah se hai apne sharab mein pagal

    kabhi ye sochta hai sang-o-KHisht ka paikar

    KHud us ki tarah na har rahguzar pathra jae

    wo lauh-e-harf-e-muqaddar bhi jis pe dhundla jae

    na jaane kitni sadi tak rahegi KHak-basar

    is aas par take jata hai dida-e-be-nur

    kabhi to pighlega ye sang-e-intizar aaKHir

    kabhi to ram ki Thokar ka hoga gun zahir

    kabhi to hoga rag-e-sang mein lahu ka zuhur

    magar najat-dahinda abhi nahin aaya

    hazar sal hain darkar dida-war ke liye

    janam janam ke hain chakkar nae safar ke liye

    na jaane 'indra' chalega ki ram aaega

    Source:

    Manghii dhire chal (Pg. 100)

    • Author: Musavvir Sabzwari
      • Edition: 1971
      • Publisher: Nazish Book Center
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now