ishq ka jam
qarya-o-sā'at-o-dhaḌkan kī qasam
tire qadmoñ kī qasam paañv ke nāḳhun kī qasam
kar na pā.ūñgā kisī taur tujhe dil se judā
tū mirā 'ishq hai aur 'ishq se miltā hai ḳhudā
qarya-o-sā'at-o-dhaḌkan ke darīche se to ab
aañkh se aañkh milā khol ke yāqūt se lab
sāhib-e-ishq kā bhejā huā farmān sunā
mirā matlab hai mujhe 'ishq kā qur.ān sunā
sūra-e-nūr ko chhū aur jabīñ par merī
apne hī naam ko likh aur mire haath ko thaam
apne hāthoñ se pilā aaj mujhe 'ishq kā jaam
apne hāthoñ se pilā aaj mujhe 'ishq kā jaam
qarya-o-sa'at-o-dhaDkan ki qasam
tere qadmon ki qasam panw ke naKHun ki qasam
kar na paunga kisi taur tujhe dil se juda
tu mera 'ishq hai aur 'ishq se milta hai KHuda
qarya-o-sa'at-o-dhaDkan ke dariche se to ab
aankh se aankh mila khol ke yaqut se lab
sahib-e-ishq ka bheja hua farman suna
mera matlab hai mujhe 'ishq ka quran suna
sura-e-nur ko chhu aur jabin par meri
apne hi nam ko likh aur mere hath ko tham
apne hathon se pila aaj mujhe 'ishq ka jam
apne hathon se pila aaj mujhe 'ishq ka jam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.