aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taj-mahal

Parveen Shakir

taj-mahal

Parveen Shakir

MORE BYParveen Shakir

    sañg-e-marmar ḳhunuk bāñhoñ meñ

    husn-e-ḳhvābīda ke aage mirī āñkheñ shal haiñ

    guñg sadiyoñ ke tanāzur meñ koī boltā hai

    vaqt jazbe ke tarāzū pe zar-o-sīm-o-javāhir taḌap taultā hai!

    har na.e chāñd pe patthar vahī sach kahte haiñ

    usī lamhe se damak uThte meñ un ke chehre

    jis lau umr ga.e ik dil-e-shab-zād ko mahtāb banā aa.ī thii!

    usī mahtāb ik narm kiran

    sāñcha-e-sañg meñ Dhal paa.ī to

    ishq rañg-e-abadiyyat se sar-afrāz huā

    kyā ajab niiñd hai

    jis ko chhū kar

    jo bhī aatā hai khulī aañkh liye aatā hai

    so chuke ḳhvāb-e-abad dekhne vaale kab ke

    aur zamāna hai ki us ḳhvāb ta.abīr liye jaag rahā hai ab tak!

    sang-e-marmar ki KHunuk banhon mein

    husn-e-KHwabida ke aage meri aankhen shal hain

    gung sadiyon ke tanazur mein koi bolta hai

    waqt jazbe ke taraazu pe zar-o-sim-o-jawahir ki taDap taulta hai!

    har nae chand pe patthar wahi sach kahte hain

    usi lamhe se damak uThte mein un ke chehre

    jis ki lau umr gae ek dil-e-shab-zad ko mahtab bana aai thi!

    usi mahtab ki ek narm kiran

    sancha-e-sang mein Dhal pai to

    ishq rang-e-abadiyyat se sar-afraaz hua

    kya ajab nind hai

    jis ko chhu kar

    jo bhi aata hai khuli aankh liye aata hai

    so chuke KHwab-e-abad dekhne wale kab ke

    aur zamana hai ki us KHwab ki tabir liye jag raha hai ab tak!

    Source:

    kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 159)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now