Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi do-rahe par

Sahir Ludhianvi

isi do-rahe par

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    ab na un ūñche makānoñ meñ qadam rakhūñgā

    maiñ ne ik baar ye pahle bhī qasam khaa.ī thī

    apnī nādār mohabbat shikastoñ ke tufail

    zindagī pahle bhī sharmā.ī thī jhunjhulā.ī thī

    aur ye ahd kiyā thā ki ba-īñ hāl-e-tabāh

    ab kabhī pyaar bhare giit nahīñ gā.uñgā

    kisī chilman ne pukārā bhī to baḌh jā.ūñgā

    koī darvāza khulā bhī to palaT ā.ūñgā

    phir tire kāñpte hoñToñ fusūñ-kār hañsī

    jaal bunñe lagī buntī rahī buntī rahī

    maiñ khiñchā tujh se magar mirī rāhoñ ke liye

    phuul chuntī rahī chuntī rahī chuntī rahī

    barf barsā.ī mire zehn o tasavvur ne magar

    dil meñ ik sho.ala-e-be-nām lahrā gayā

    terī chup-chāp nigāhoñ ko sulagte kar

    merī bezār tabī.at ko bhī pyaar aa gayā

    apnī badlī huī nazroñ ke taqāze na chhupā

    maiñ is andāz mafhūm samajh saktā huuñ

    tere zar-kār darīchoñ bulandī qasam

    apne iqdām maqsūm samajh saktā huuñ

    ab na un ūñche makānoñ meñ qadam rakhūñgā

    maiñ ne ik baar ye pahle bhī qasam khaa.ī thī

    isī sarmāya o aflās ke dorāhe par

    zindagī pahle bhī sharmā.ī thī jhunjhulā.ī thī

    ab na un unche makanon mein qadam rakhunga

    main ne ek bar ye pahle bhi qasam khai thi

    apni nadar mohabbat ki shikaston ke tufail

    zindagi pahle bhi sharmai thi jhunjhulai thi

    aur ye ahd kiya tha ki ba-in haal-e-tabah

    ab kabhi pyar bhare git nahin gaunga

    kisi chilman ne pukara bhi to baDh jaunga

    koi darwaza khula bhi to palaT aaunga

    phir tere kanpte honTon ki fusun-kar hansi

    jal bunne lagi bunti rahi bunti hi rahi

    main khincha tujh se magar tu meri rahon ke liye

    phul chunti rahi chunti rahi chunti hi rahi

    barf barsai mere zehn o tasawwur ne magar

    dil mein ek shoala-e-be-nam sa lahra hi gaya

    teri chup-chap nigahon ko sulagte pa kar

    meri bezar tabiat ko bhi pyar aa hi gaya

    apni badli hui nazron ke taqaze na chhupa

    main is andaz ka mafhum samajh sakta hun

    tere zar-kar darichon ki bulandi ki qasam

    apne iqdam ka maqsum samajh sakta hun

    ab na un unche makanon mein qadam rakhunga

    main ne ek bar ye pahle bhi qasam khai thi

    isi sarmaya o aflas ke dorahe par

    zindagi pahle bhi sharmai thi jhunjhulai thi

    Source:

    Kulliyat-e-Sahir (Pg. 94)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now