Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

izhaar

Iqbal Kausar

izhaar

Iqbal Kausar

MORE BYIqbal Kausar

    ham ne sochā ab shikasta ghar muqaffal nahīñ ho sakte

    kivāḌoñ ke baġhair

    achchhe kivāḌ achchhī imārat ke baġhair

    ham ne kuchh kaalī tijārat se kamā.ī

    udhar kuchh jangaloñ ke chor apne yaar the

    lakḌī ḳharīdī aur kivāḌoñ aur kaḌiyoñ meñ ghaḌī

    naqshe banā.e aur dīvāreñ chunīñ ham ne chhateñ Dālīñ

    na.ī ta.amīr ko har rang har art dhaj

    phir apnī soch aur ehsās rā.anā nazar-afroz

    tasvīroñ se kamroñ ko sajā kar aa.ine ke sāmne aa.e

    aur ik fankār naḳhvat se bāloñ ko bikherā

    aur chehre ko banāvaT

    yahī chehra hamāre saath cigarette phūñktā

    saḌkoñ pe phirtā hoTeloñ meñ chaa.e piitā thā

    zamāne bhar gappeñ hāñktā thā

    lekin us sach sadā us meñ muqaffal thī jo us ke ahd sach thā

    vo gūñgā thā

    kivāḌoñ tarah apne makāñ meñ apnī tasvīr sūrat ham muqaffal the

    aur ab jab shahr meñ baḌhte dhamākoñ ne

    makāñ larzā diyā hai toḌ Daale haiñ kivāḌ aur masḳh kar Daalī haiñ tasvīreñ

    hameñ ye dukh hai ham ḳhud meñ muqaffal kyoñ hue the

    jabr baḌhtī huī mī.ād meñ

    sabr shafqat bharī būḌhī duā.eñ kyoñ nahīñ

    ham ne ḳhud par kyoñ ḳhalā ke fāsle lambe kiye

    sach ḳhāmoshī ke mujrim kyoñ bane

    chup gavāra kyoñ huī

    baat gūñge ishāra kyoñ huī

    ham agar lab kholte

    kuchh dūsre bhī bolte

    kuchh dūsre bhī bolte

    hum ne socha ab shikasta ghar muqaffal nahin ho sakte

    kiwaDon ke baghair

    achchhe kiwaD achchhi imarat ke baghair

    hum ne kuchh kali tijarat se kamai ki

    udhar kuchh jangalon ke chor apne yar the

    lakDi KHaridi aur kiwaDon aur kaDiyon mein ghaDi

    naqshe banae aur diwaren chunin hum ne chhaten Dalin

    nai tamir ko har rang ki har art ki dhaj di

    phir apni soch aur ehsas ki raana nazar-afroz

    taswiron se kamron ko saja kar aaine ke samne aae

    aur ek fankar ki naKHwat se baalon ko bikhera

    aur chehre ko banawaT di

    yahi chehra hamare sath cigarette phunkta

    saDkon pe phirta hoTelon mein chae pita tha

    zamane bhar ki gappen hankta tha

    lekin us sach ki sada us mein muqaffal thi jo us ke ahd ka sach tha

    wo gunga tha

    kiwaDon ki tarah apne makan mein apni taswir ki surat hum muqaffal the

    aur ab jab shahr mein baDhte dhamakon ne

    makan larza diya hai toD Dale hain kiwaD aur masKH kar Dali hain taswiren

    hamein ye dukh hai hum KHud mein muqaffal kyon hue the

    jabr ki baDhti hui miad mein

    sabr ki shafqat bhari buDhi duaen kyon nahin

    hum ne KHud par kyon KHala ke fasle lambe kiye

    sach ki KHamoshi ke mujrim kyon bane

    chup gawara kyon hui

    baat gunge ka ishaara kyon hui

    hum agar lab kholte

    kuchh dusre bhi bolte

    kuchh dusre bhi bolte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now