jab tum yaad aati ho
na jaane kitnī tasvīreñ ubhartī haiñ tasavvur meñ
mire naġhmāt jab bhī zer-e-lab tum gungunātī ho
koī bādal kā TukḌā chāñd ko chhū kar guzartā hai
to lagtā hai ki tum āñchal meñ apnā muñh chhupātī ho
chaman meñ ḳhaar se dāman tumhārā jab ulajhtā hai
na jaane us ghaḌī be-sāḳhta kyuuñ muskurātī ho
bikhar jaatī haiñ shānoñ par ghanī zulfeñ havāoñ se
to us dam ik na.e andāz se tum sar jhukātī ho
mirī tasvīr se kyuuñ vālihāna pyaar hai tum ko
batāo kyuuñ mirī tasvīr siine se lagātī ho
hazāroñ diip jal uThte haiñ yādoñ kī muñDeroñ par
tasavvur ke shabistānoñ meñ jab tum muskurātī ho
na jaane kitni taswiren ubharti hain tasawwur mein
mere naghmat jab bhi zer-e-lab tum gungunati ho
koi baadal ka TukDa chand ko chhu kar guzarta hai
to lagta hai ki tum aanchal mein apna munh chhupati ho
chaman mein KHar se daman tumhaara jab ulajhta hai
na jaane us ghaDi be-saKHta kyun muskuraati ho
bikhar jati hain shanon par ghani zulfen hawaon se
to us dam ek nae andaz se tum sar jhukati ho
meri taswir se kyun walihana pyar hai tum ko
batao kyun meri taswir sine se lagati ho
hazaron dip jal uThte hain yaadon ki munDeron par
tasawwur ke shabistanon mein jab tum muskuraati ho
- Book : Dard aashna (Pg. 18)
- Author : Abdullah Sajid
- Publication : Abdullah Sajid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.