KHamosh aawaz
Interesting Fact
At Safia's grave on a bitterly cold January night
kitne din meñ aa.e ho sāthī
mere sote bhaag jagāne
mujh se alag is ek baras meñ
kyā kyā biitī tum pe na jaane
dekho kitne thak se ga.e ho
kitnī thakan āñkhoñ meñ ghulī hai
aao tumhāre vāste sāthī
ab bhī mirī āġhosh khulī hai
chup ho kyūñ? kyā soch rahe ho
aao sab kuchh aaj bhulā do
aao apne pyāre sāthī
phir se mujhe ik baar jilā do
bolo sāthī kuchh to bolo
kab tak āḳhir aah bharūñgī
tum ne mujh par naaz kiye haiñ
aaj maiñ tum se naaz karūñgī
aao maiñ tum se ruuTh sī jā.ūñ
aao mujhe tum hañs ke manā lo
mujh meñ sach-much jaan nahīñ hai
aao mujhe hāthoñ pe uThā lo
tum ko merā ġham hai sāthī
kaise ab is ġham ko bhulā.ūñ
apnā khoyā jīvan bolo
aaj kahāñ se DhūñD ke lā.ūñ
ye na samajhnā mere sājan
de na sakī maiñ saath tumhārā
ye na samajhnā mere dil ko
aaj tumhārā dukh hai gavārā
ye na samajhnā maiñ ne tum se
jaan ke yuuñ muñh moḌ liyā hai
ye na samajhnā maiñ ne tum se
dil kā naatā toḌ liyā hai
ye na samajhnā tum se maiñ ne
aaj kiyā hai koī bahānā
duniyā mujh se ruuTh chukī hai
sāthī tum bhī ruuTh na jaanā
aaj bhī sājan maiñ huuñ tumhārī
aaj bhī tum ho mere apne
aaj bhī in āñkhoñ meñ base haiñ
pyāre ke anmiT gahre sapne
dil kī dhaḌkan Duub bhī jaa.e
dil kī sadā.eñ thak na sakeñgī
miT bhī jā.ūñ phir bhī tum se
merī vafā.eñ thak na sakeñgī
ye to pūchho mujh se chhuT kar
tere dil par kyā kyā guzrī
tum bin merī naav to sājan
aisī Duubī phir na ubhrī
ek tumhārā pyaar bachā hai
varna sab kuchh luT sā gayā hai
ek musalsal raat ki jis meñ
aaj mirā dam ghuT sā gayā hai
aaj tumhārā rasta takte
maiñ ne puurā saal bitāyā
kitne tūfānoñ kī zad par
maiñ ne apnā diip jalāyā
tum bin saare mausam biite
aa.e jhoñke sard havā ke
narm gulābī jaaḌe guzre
mere dil meñ aag lagā ke
sāvan aayā dhuum machātā
ghir-ghir kaale bādal chhā.e
mere dil par jam se ga.e haiñ
jaane kitne gahre saa.e
chāñd se jab bhī bādal guzrā
dil se guzrā aks tumhārā
phuul jo chaTke maiñ ne jaanā
tum ne shāyad mujh ko pukārā
aa.iiñ bahāreñ mujh ko manāne
tum bin maiñ to muñh na bolī
laakh fazā meñ giit se gūñje
lekin maiñ ne aañkh na kholī
kitnī nikhrī sub.heñ guzrīñ
kitnī mahkī shāmeñ chhā.īñ
mere dil ko duur se takne
jaane kitnī yādeñ aa.iiñ
itnī muddat ba.ad to pirītam
aaj kalī hirdai kī khilī hai
kitnī rāteñ jaag ke sājan
aaj mujhe ye raat milī hai
bolo sāthī kuchh to bolo
kuchh to dil kī baat batāo
aaj bhī mujh se duur rahoge
aao mire nazdīk to aao
aao maiñ tum ko bahlā lūñgī
baiTh to jaao mere sahāre
aaj tumheñ kyuuñ ġham hai bolo
aaj to maiñ huuñ paas tumhāre
achchhā merā ġham na bhulāo
merā ġham har ġham meñ samolo
is se achchhī baat na hogī
ye to tumheñ manzūr hai bolo
mere ġham ko mere shā.er
apne javāñ gītoñ meñ rachā lo
mere ġham ko mere shā.er
saare jag kī aag banā lo
mere ġham kī aañch se sāthī
chauñk uThegā azm tumhārā
baat to jab hai lākhoñ dil ko
chhū le apne pyaar kā dhārā
maiñ jo tumhāre saath nahīñ huuñ
dil ko mat māyūs karo tum
tum ho tanhā tum ho akele
aisā kyuuñ mahsūs karo tum
aaj hamāre lākhoñ sāthī
sāthī himmat haar na jaao
aaj karoḌoñ haath baḌheñge
ek zarā tum haath baḌhāo
achchhā ab to hañs do sāthī
varna dekho ro sī paḌūñgī
bolo sāthī kuchh to bolo
aaj maiñ sach-much tum se laḌūñgī
jaag uThī lo duniyā merī
aa.ī hañsī vo lab pe tumhāre
dekho dekho merī jānib
dauḌ paḌe haiñ chāñd sitāre
jhilmil jhilmil kirneñ aa.iiñ
mujh ko chandan-hār pahnāne
jagmag jagmag taare aa.e
phir se merī maañg sajāne
aa.iiñ havā.eñ jhāñjh bajātī
gītoñ morā añgnā jaagā
more māthe jhūmar damkā
more hāthoñ kañgnā jaagā
jaag uThā hai saarā aalam
jaag uThī hai raat milan kī
aao zamīñ kī god meñ sājan
sej sajī hai aaj dulhan kī
aao jaatī raat hai sāthī
pyaar tumhārā dil meñ bhar luuñ
aao tumhārī god meñ sājan
thak kar āñkheñ band sī kar luuñ
uTTho sāthī duur ufuq kā
narm kinārā kaañp uThā hai
mere dil kī dhaḌkan ban kar
sub.h kā taarā kaañp uThā hai
dil kī dhaḌkan Duub ke rah jā
jaagī nabzo tham sī jaao
phir se merī be-nam āñkho
patthar ban kar jam sī jaao
mere ġham kā ġham na karo tum
achchhā ab se ġham na karūñgī
mere irādoñ vaale sāthī
jaao maiñ himmat kam na karūñgī
tum ko hañs kar ruḳhsat kar duuñ
sab kuchh maiñ ne hañs ke sahā hai
tum bin mujh meñ kuchh na rahegā
yuuñ bhī ab kyā ḳhaak rahā hai
dekho! kitne kaam paḌe haiñ
achchhā ab mat der karo tum
kaise jam kar rah se ga.e ho
itnā mat andher karo tum
bolo tum ko kaise rokūñ
duniyā sau ilzām dharegī
aise pāgal pyaar ko sāthī
saarī ḳhilqat naam dharegī
aao maiñ uljhe baal svārūñ
mujh se koī kaam to le lo
phir se gale ik baar lagā ke
pyaar se merā naam to le lo
achchhā sāthī! jaao sidhāro
ab kī itne din na lagānā
pyāsī āñkheñ raah takeñgī!
lekin Thahro Thahro sāthī
dil ko zarā tayyār to kar luuñ
aao mire pardesī sājan!
aao maiñ tum ko pyaar to kar luuñ
kitne din mein aae ho sathi
mere sote bhag jagane
mujh se alag is ek baras mein
kya kya biti tum pe na jaane
dekho kitne thak se gae ho
kitni thakan aankhon mein ghuli hai
aao tumhaare waste sathi
ab bhi meri aaghosh khuli hai
chup ho kyun? kya soch rahe ho
aao sab kuchh aaj bhula do
aao apne pyare sathi
phir se mujhe ek bar jila do
bolo sathi kuchh to bolo
kab tak aaKHir aah bharungi
tum ne mujh par naz kiye hain
aaj main tum se naz karungi
aao main tum se ruTh si jaun
aao mujhe tum hans ke mana lo
mujh mein sach-much jaan nahin hai
aao mujhe hathon pe uTha lo
tum ko mera gham hai sathi
kaise ab is gham ko bhulaun
apna khoya jiwan bolo
aaj kahan se DhunD ke laun
ye na samajhna mere sajan
de na saki main sath tumhaara
ye na samajhna mere dil ko
aaj tumhaara dukh hai gawara
ye na samajhna main ne tum se
jaan ke yun munh moD liya hai
ye na samajhna main ne tum se
dil ka nata toD liya hai
ye na samajhna tum se main ne
aaj kiya hai koi bahana
duniya mujh se ruTh chuki hai
sathi tum bhi ruTh na jaana
aaj bhi sajan main hun tumhaari
aaj bhi tum ho mere apne
aaj bhi in aankhon mein base hain
pyare ke anmiT gahre sapne
dil ki dhaDkan Dub bhi jae
dil ki sadaen thak na sakengi
miT bhi jaun phir bhi tum se
meri wafaen thak na sakengi
ye to puchho mujh se chhuT kar
tere dil par kya kya guzri
tum bin meri naw to sajan
aisi Dubi phir na ubhri
ek tumhaara pyar bacha hai
warna sab kuchh luT sa gaya hai
ek musalsal raat ki jis mein
aaj mera dam ghuT sa gaya hai
aaj tumhaara rasta takte
main ne pura sal bitaya
kitne tufanon ki zad par
main ne apna dip jalaya
tum bin sare mausam bite
aae jhonke sard hawa ke
narm gulabi jaDe guzre
mere dil mein aag laga ke
sawan aaya dhum machata
ghir-ghir kale baadal chhae
mere dil par jam se gae hain
jaane kitne gahre sae
chand se jab bhi baadal guzra
dil se guzra aks tumhaara
phul jo chaTke main ne jaana
tum ne shayad mujh ko pukara
aain bahaaren mujh ko manane
tum bin main to munh na boli
lakh faza mein git se gunje
lekin main ne aankh na kholi
kitni nikhri subhen guzrin
kitni mahki shamen chhain
mere dil ko dur se takne
jaane kitni yaaden aain
itni muddat baad to piritam
aaj kali hirdai ki khili hai
kitni raaten jag ke sajan
aaj mujhe ye raat mili hai
bolo sathi kuchh to bolo
kuchh to dil ki baat batao
aaj bhi mujh se dur rahoge
aao mere nazdik to aao
aao main tum ko bahla lungi
baiTh to jao mere sahaare
aaj tumhein kyun gham hai bolo
aaj to main hun pas tumhaare
achchha mera gham na bhulao
mera gham har gham mein samolo
is se achchhi baat na hogi
ye to tumhein manzur hai bolo
mere gham ko mere shaer
apne jawan giton mein racha lo
mere gham ko mere shaer
sare jag ki aag bana lo
mere gham ki aanch se sathi
chaunk uThega azm tumhaara
baat to jab hai lakhon dil ko
chhu le apne pyar ka dhaara
main jo tumhaare sath nahin hun
dil ko mat mayus karo tum
tum ho tanha tum ho akele
aisa kyun mahsus karo tum
aaj hamare lakhon sathi
sathi himmat haar na jao
aaj karoDon hath baDhenge
ek zara tum hath baDhao
achchha ab to hans do sathi
warna dekho ro si paDungi
bolo sathi kuchh to bolo
aaj main sach-much tum se laDungi
jag uThi lo duniya meri
aai hansi wo lab pe tumhaare
dekho dekho meri jaanib
dauD paDe hain chand sitare
jhilmil jhilmil kirnen aain
mujh ko chandan-haar pahnane
jagmag jagmag tare aae
phir se meri mang sajaane
aain hawaen jhanjh bajati
giton mora angna jaga
more mathe jhumar damka
more hathon kangna jaga
jag uTha hai sara aalam
jag uThi hai raat milan ki
aao zamin ki god mein sajan
sej saji hai aaj dulhan ki
aao jati raat hai sathi
pyar tumhaara dil mein bhar lun
aao tumhaari god mein sajan
thak kar aankhen band si kar lun
uTTho sathi dur ufuq ka
narm kinara kanp uTha hai
mere dil ki dhaDkan ban kar
subh ka tara kanp uTha hai
dil ki dhaDkan Dub ke rah ja
jagi nabzo tham si jao
phir se meri be-nam aankho
patthar ban kar jam si jao
mere gham ka gham na karo tum
achchha ab se gham na karungi
mere iradon wale sathi
jao main himmat kam na karungi
tum ko hans kar ruKHsat kar dun
sab kuchh main ne hans ke saha hai
tum bin mujh mein kuchh na rahega
yun bhi ab kya KHak raha hai
dekho! kitne kaam paDe hain
achchha ab mat der karo tum
kaise jam kar rah se gae ho
itna mat andher karo tum
bolo tum ko kaise rokun
duniya sau ilzam dharegi
aise pagal pyar ko sathi
sari KHilqat nam dharegi
aao main uljhe baal swarun
mujh se koi kaam to le lo
phir se gale ek bar laga ke
pyar se mera nam to le lo
achchha sathi! jao sidhaaro
ab ki itne din na lagana
pyasi aankhen rah takengi!
lekin Thahro Thahro sathi
dil ko zara tayyar to kar lun
aao mere pardesi sajan!
aao main tum ko pyar to kar lun
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 205)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.