Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jangal ki lakDiyan

Rashid Anwar Rashid

jangal ki lakDiyan

Rashid Anwar Rashid

MORE BYRashid Anwar Rashid

    pahāḌī rāstoñ par

    lakḌiyoñ gaThriyāñ sar par sambhāle

    rahā hai ādī-vāsī auratoñ qāfila

    ye qāfila kuchh duur kar

    gaañv ke bāzār meñ Thahregā

    aur phir lakḌiyāñ sar se utārī jā.eñgī

    ḳhūbsūrat jañgaloñ se kaaT kar

    laa.ī ga.ī ye lakḌiyāñ

    bāzār zīnat baneñgī

    lakḌiyoñ bojh Dho kar

    laane vaalī aurteñ

    ḳhāmosh rah kar

    dil dil meñ

    apne haTTe-kaTTe mardoñ

    javāñ-mardī ke naġhme gā.eñgī

    aur gaañv ke bāzār se kuchh duur

    un ke mard

    apnī tez kulhāḌī se

    jañgal safāyā karne meñ

    masrūf hoñge

    ye vahī jañgal hai jis husn

    qaa.em thā inhīñ shaidā.iyoñ se

    zarre zarre meñ

    isī jañgal ke goshe goshe meñ

    shaidā.iyoñ ruuh bastī thī

    isī jañgal meñ un jism lāġhar ho chalā hai

    aur apnī zindagī ko

    baaqī rakhne yahī ik rāsta

    in ko nazar aayā hai

    jañgal ḳhatm kar ke ḳhud vo jiinā chāhte haiñ

    ham taraqqī ke hazāroñ da.ave

    karne vaale dānish-mand

    andar se bahut khokhle haiñ

    pahaDi raston par

    lakDiyon ki gaThriyan sar par sambhaale

    ja raha hai aadi-wasi auraton ka qafila

    ye qafila kuchh dur ja kar

    ganw ke bazar mein Thahrega

    aur phir lakDiyan sar se utari jaengi

    KHubsurat jangalon se kaT kar

    lai gai ye lakDiyan

    bazar ki zinat banengi

    lakDiyon ka bojh Dho kar

    lane wali aurten

    KHamosh rah kar

    dil hi dil mein

    apne haTTe-kaTTe mardon ki

    jawan-mardi ke naghme gaengi

    aur ganw ke bazar se kuchh dur

    un ke mard

    apni tez kulhaDi se

    jangal ka safaya karne mein

    masruf honge

    ye wahi jangal hai jis ka husn

    qaem tha inhin shaidaiyon se

    zarre zarre mein

    isi jangal ke goshe goshe mein

    shaidaiyon ki ruh basti thi

    isi jangal mein un ka jism laghar ho chala hai

    aur apni zindagi ko

    baqi rakhne ka yahi ek rasta

    in ko nazar aaya hai

    jangal KHatm kar ke KHud wo jina chahte hain

    hum taraqqi ke hazaron dawe

    karne wale danish-mand

    andar se bahut hi khokhle hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Rashid Anwar Rashid

    Rashid Anwar Rashid

    RECITATIONS

    Rashid Anwar Rashid

    Rashid Anwar Rashid,

    Rashid Anwar Rashid

    jangal ki lakDiyan Rashid Anwar Rashid

    Source:

    Geet Sunati hai hawa (Poetry) (Pg. 208)

    • Author: Rashid Anwar Rashid
      • Edition: 2015
      • Publisher: Arshia Publications
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now