ik jañgal meñ hue ikaTThe
saare jānvaroñ ke bachche
bheḌ ne apnā lallā bhejā
gaay ne bhī bachhḌā bhejā
kutte kā pillā bhī aayā
ullū kā paTThā bhī aayā
bakrī ne bhī memne bheje
aur billī ne bilauTe bheje
murġhī ke chūze bhī aa.e
bataḳh ke bachche bhī aa.e
ghoḌe kā chālāk bachherā
bhaiñs ke kaḌe ke saath aayā
baaz kabūtar kavvā chiḌiyā
hāthī uuñT uqaab aur shikrā
bandar sher hiran aur kachhvā
tītar mor baTer aur bagulā
totā mainā fāḳhta sab ne
apne apne bachche bheje
kahīñ thiiñ chiiñ chiiñ kahīñ chyā.ūñ
kahīñ thī meñ meñ kahīñ myā.un
sab ne mil kar shor machāyā
ik ḳhiḳhyāyā ik mimyāyā
koī chīḳhā koī bhauñkā
ullū bhī sote meñ chauñkā
ḳhuub ye jalsa chamkā ya.anī
baat na samjhā koī kisī kī