Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jannat-e-kashmir yahi hai

Arsh Malsiyani

jannat-e-kashmir yahi hai

Arsh Malsiyani

MORE BYArsh Malsiyani

    jis ḳhaak hai auj pe taqdīr yahī hai

    jo radd-e-ġhulāmī hai iksīr yahī hai

    bedārī-e-jamhūr tasvīr yahī hai

    āzādī-e-afrād ta.amīr yahī hai

    ai 'arsh' tire ḳhvāb ta.abīr yahī hai

    firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai

    is se nahīñ achchhā koī gulzār ise dekh

    is se nahīñ baḌh kar koī shahkār ise dekh

    is se nahīñ ūñchā koī darbār ise dekh

    is se nahīñ behtar koī dīdār ise dekh

    fitrat ne jo khīñchī hai vo tasvīr yahī hai

    firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai

    shirvānī-e-ma.asūm jāgīr na DhūñDo

    shirvānī-e-mazlūm jāgīr na DhūñDo

    shirvānī-e-maḳhdūm jāgīr na DhūñDo

    shirvānī-e-marhūm jāgīr na DhūñDo

    shirvānī-e-marhūm jāgīr yahī hai

    firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai

    gul-posh makāñ aur gul-andām makīñ bhī

    kamyāb nahīñ husn zamāne meñ kahīñ bhī

    duniyā meñ bahut naqsh haiñ dilkash bhī hasīñ bhī

    jo ḳhāma-e-qudrat hai tahrīr yahī hai

    firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai

    jis husn ushshāq sunāte haiñ fasāna

    jis husn ke har naaz pe miTtā hai zamāna

    jis husn hai lab pe muġhannī ke tarānā

    jis husn ke jalvoñ na had hai na Thikānā

    us husn-e-jahāñ-tāb tanvīr yahī hai

    firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai

    sarmāya-o-mehnat hai jo mas.ala-e-ḳhās

    iflās-o-imārat hai jo mas.ala-e-ḳhās

    dahqān azmat hai jo mas.la-e-ḳhās

    mazdūr shaukat hai jo mas.ala-e-ḳhās

    is mas.ala-e-ḳhās tafsīr yahī hai

    firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai

    ulfat ke payambar haiñ parastār isī ke

    iḳhlās mai piite haiñ mai-ḳhvār isī ke

    mardān-e-mujāhid haiñ talabgār isī ke

    hindū hoñ ki muslim haiñ giraftār isī ke

    vābasta haiñ sab jis se vo zanjīr yahī hai

    firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai

    sarmā.e ke beToñ huī ḳhuub dukāñ band

    jāgīr-parastoñ pe huī rāh-e-amāñ band

    mahkūmī-e-majbūr kab se thī zabāñ band

    sadiyoñ ġhulāmī ke haiñ kis darja garāñ band

    kāTegī jo ye band vo shamshīr yahī hai

    firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai

    jis KHak ki hai auj pe taqdir yahi hai

    jo radd-e-ghulami ki hai iksir yahi hai

    bedari-e-jamhur ki taswir yahi hai

    aazadi-e-afrad ki tamir yahi hai

    ai 'arsh' tere KHwab ki tabir yahi hai

    firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai

    is se nahin achchha koi gulzar ise dekh

    is se nahin baDh kar koi shahkar ise dekh

    is se nahin uncha koi darbar ise dekh

    is se nahin behtar koi didar ise dekh

    fitrat ne jo khinchi hai wo taswir yahi hai

    firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai

    shirwani-e-masum ki jagir na DhunDo

    shirwani-e-mazlum ki jagir na DhunDo

    shirwani-e-maKHdum ki jagir na DhunDo

    shirwani-e-marhum ki jagir na DhunDo

    shirwani-e-marhum ki jagir yahi hai

    firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai

    gul-posh makan aur gul-andam makin bhi

    kamyab nahin husn zamane mein kahin bhi

    duniya mein bahut naqsh hain dilkash bhi hasin bhi

    jo KHama-e-qudrat ki hai tahrir yahi hai

    firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai

    jis husn ka ushshaq sunate hain fasana

    jis husn ke har naz pe miTta hai zamana

    jis husn ka hai lab pe mughanni ke tarana

    jis husn ke jalwon ki na had hai na Thikana

    us husn-e-jahan-tab ki tanwir yahi hai

    firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai

    sarmaya-o-mehnat ka hai jo masala-e-KHas

    iflas-o-imarat ka hai jo masala-e-KHas

    dahqan ki azmat ka hai jo masla-e-KHas

    mazdur ki shaukat ka hai jo masala-e-KHas

    is masala-e-KHas ki tafsir yahi hai

    firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai

    ulfat ke payambar hain parastar isi ke

    iKHlas ki mai pite hain mai-KHwar isi ke

    mardan-e-mujahid hain talabgar isi ke

    hindu hon ki muslim hain giraftar isi ke

    wabasta hain sab jis se wo zanjir yahi hai

    firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai

    sarmae ke beTon ki hui KHub dukan band

    jagir-paraston pe hui rah-e-aman band

    mahkumi-e-majbur ki kab se thi zaban band

    sadiyon ki ghulami ke hain kis darja garan band

    kaTegi jo ye band wo shamshir yahi hai

    firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai

    Source:

    Sharar-e-sang (Pg. 31)

    • Author: Arsh Malsiyani
      • Edition: 1967
      • Publisher: Markaz Tasneef-o-Talif, Nikodar
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now