jawaz
maiñ ek ḳhizāñ-dīda-e-āvāra musāfir
dānista nikal aayā huuñ duur apne vatan se
ab soch rahā huuñ ki javānī kā ye iqdām
kyā koī jasārat hai rivāyāt-e-kuhan se
is tarh se vijdān ke hoñToñ pe hai naala
jaise koī pā-basta musāfir sar-e-rāhe
yā jaise khañDar meñ koī manhūs parinda
pur-haul tarīqe se lagātār karāhe
duniyā ko ġharaz kyā hai mirī ġham-zadagī se
kyoñ saarā zamāna mirī jānib nigarāñ hai
dil ḳhush ho to nāloñ meñ bhī ik ruḳh hai tarab kā
dil TuuTe to naġhmoñ meñ bhī ik tarz-e-fuġhāñ hai
motī ko nikalnā hī paḌā batn-e-sadaf se
har gul chamanistān-e-jahāñ kā safarī hai
har mauj-e-havā ḳhāna-badoshī kā hai nauha
har zarre kī taqdīr yahāñ dar-ba-darī hai
ye phuul jo zīnat haiñ kisī jeb-o-qabā kī
gulshan kī kisī shāḳh-e-tamannā pe khile the
maidān kī vus'at meñ ye bikhre hue patte
ik roz havāoñ ko daraḳhtoñ pe mile the
main ek KHizan-dida-e-awara musafir
danista nikal aaya hun dur apne watan se
ab soch raha hun ki jawani ka ye iqdam
kya koi jasarat hai riwayat-e-kuhan se
is tarh se wijdan ke honTon pe hai nala
jaise koi pa-basta musafir sar-e-rahe
ya jaise khanDar mein koi manhus parinda
pur-haul tariqe se lagatar karahe
duniya ko gharaz kya hai meri gham-zadagi se
kyon sara zamana meri jaanib nigaran hai
dil KHush ho to nalon mein bhi ek ruKH hai tarab ka
dil TuTe to naghmon mein bhi ek tarz-e-fughan hai
moti ko nikalna hi paDa batn-e-sadaf se
har gul chamanistan-e-jahan ka safari hai
har mauj-e-hawa KHana-badoshi ka hai nauha
har zarre ki taqdir yahan dar-ba-dari hai
ye phul jo zinat hain kisi jeb-o-qaba ki
gulshan ki kisi shaKH-e-tamanna pe khile the
maidan ki wus'at mein ye bikhre hue patte
ek roz hawaon ko daraKHton pe mile the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.