Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kar-e-mushkil

Muneer Wahidi

kar-e-mushkil

Muneer Wahidi

MORE BYMuneer Wahidi

    asr-e-hāzir meñ hai aisā sāhib-e-tadbīr kaun

    bazm-e-gītī badal saktā hai ab taqdīr kaun

    dāstān-e-shauq-o-mastī ik muamma ban ga.ī

    sūrat-e-mansūr sar de kar likhe tafsīr kaun

    mar-miTā dīvāna qais ab nāz-e-lailā kaun uThā.e

    kohkan bhī chal basā laatā hai jū-e-shīr kaun

    kāñpte haiñ bāġhbāñ sab nigāh-e-garm se

    barq zad par karegā āshiyāñ ta.amīr kaun

    ġhālib-e-ātish-navā kunj-e-lahad meñ hai ḳhamosh

    soz se dil ke bhare naġhmāt meñ tāsīr kaun

    hai bahut mushkil badalnā mahfil-e-hastī rang

    saaz ko rakh kar uThā.e haath meñ shamshīr kaun

    aql-o-dil kashmakash mujh ko to le Duubī 'munīr'

    kahiye donoñ meñ hai āḳhir lā.eq-e-tāzīr kaun

    asr-e-hazir mein hai aisa sahib-e-tadbir kaun

    bazm-e-giti ki badal sakta hai ab taqdir kaun

    dastan-e-shauq-o-masti ek muamma ban gai

    surat-e-mansur sar de kar likhe tafsir kaun

    mar-miTa diwana qais ab naz-e-laila kaun uThae

    kohkan bhi chal basa lata hai ju-e-shir kaun

    kanpte hain baghban ki sab nigah-e-garm se

    barq ki zad par karega aashiyan tamir kaun

    ghaalib-e-atish-nawa kunj-e-lahad mein hai KHamosh

    soz se dil ke bhare naghmat mein tasir kaun

    hai bahut mushkil badalna mahfil-e-hasti ka rang

    saz ko rakh kar uThae hath mein shamshir kaun

    aql-o-dil ki kashmakash mujh ko to le Dubi 'munir'

    kahiye donon mein hai aaKHir laeq-e-tazir kaun

    Source:

    Kalam-e-Muneer Wahidi (Pg. 165)

      • Publisher: Nushad Alam
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now