Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kash main puchh sakti

Narjis Afroz Zaidi

kash main puchh sakti

Narjis Afroz Zaidi

MORE BYNarjis Afroz Zaidi

    maiñ titlī ke paroñ khoyā huā rang thī

    apne mausam ko DhūñDhtī sabz havā thī

    puure chāñd rātoñ meñ bhīge hue sāhiloñ par

    samundar ke gungunāne āvāz thī

    jangaloñ ke siyah-āñchal par

    sitāre Tāñktī chāñdnī thī

    bārish hañsī thī

    havā chhuvan thī

    tum ne mujhe mahaz ek aurat samjhā

    kyā tumheñ apnī āstīn par

    ḳhuun ke dhabbe dikhā.ī nahīñ dete

    main titli ke paron ka khoya hua rang thi

    apne mausam ko DhunDhti sabz hawa thi

    pure chand ki raaton mein bhige hue sahilon par

    samundar ke gungunane ki aawaz thi

    jangalon ke siyah-anchal par

    sitare Tankti chandni thi

    barish ki hansi thi

    ya

    hawa ki chhuwan thi

    tum ne mujhe mahaz ek aurat samjha

    kya tumhein apni aastin par

    KHun ke dhabbe dikhai nahin dete

    Source:

    Mohabbat Aasman Hai (Pg. 175)

    • Author: Narjis Afroz Zaidi
      • Publisher: Dastavez Matbuat, Lahore
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now