Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi kabhi to zindagiyan

Majeed Amjad

kabhi kabhi to zindagiyan

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    kabhī kabhī to zindagiyāñ kuchh itne vaqt meñ apnī murādeñ hāsil kar letī haiñ

    jitne vaqt meñ luqma plate se muñh meñ pahuñchtā hai... aur

    aksar aisī murādoñ to pahuñch bhī luqmoñ tak hotī hai

    aur jab aisī manzileñ bārvar hotī haiñ to shahr panapte haiñ aur gaañv phabakte haiñ… aur

    tahzīboñ manDiyoñ meñ har jānib qistāsoñ TeḌhī DanDiyāñ roz o shab tezī tezī se

    insānoñ jholiyoñ meñ rizqoñ dhaḌyāñ ulaTtī haiñ aur

    bhare samājoñ meñ shuddh talqīnoñ DauDiyāñ pīTne vaale bhī apnī apnī paġhambariyoñ tanḳhvāheñ paate haiñ

    lekin kis ko ḳhabar hai aisī bhī haiñ manzileñ jin tak jaane vaale rāstoñ par na duā saaya hai na qazā gaḌhā hai

    kuchh hai bhī to bas apnī sochoñ dhajjiyoñ meñ simTī huī ik bechārgī jis be-sadā

    huuk meñ umreñ Duub jaatī haiñ

    aur qutboñ se qutboñ tak uḌ uḌ kar jaane vaale thake paroñ kamāneñ bhī to

    ik manzil pe chamaktī ābnāo samt lachak jaatī haiñ

    lekin haa.e vo manzileñ jin tak har sachchā.ī rasta hai aur har sachchā.ī maut jiitā naam hai

    kabhi kabhi to zindagiyan kuchh itne waqt mein apni muraden hasil kar leti hain

    jitne waqt mein luqma plate se munh mein pahunchta hai aur

    aksar aisi muradon ki to pahunch bhi luqmon tak hoti hai

    aur jab aisi manzilen barwar hoti hain to shahr panapte hain aur ganw phabakte hain… aur

    tahzibon ki manDiyon mein har jaanib qistason ki TeDhi DanDiyan roz o shab tezi tezi se

    insanon ki jholiyon mein rizqon ki dhaDyan ulaTti hain aur

    bhare samajon mein shuddh talqinon ki DauDiyan piTne wale bhi apni apni paghambariyon ki tanKHwahen pate hain

    lekin kis ko KHabar hai aisi bhi hain manzilen jin tak jaane wale raston par na dua ka saya hai na qaza ka gaDha hai

    kuchh hai bhi to bas apni sochon ki dhajjiyon mein simTi hui ek bechaargi jis ki be-sada

    huk mein umren Dub jati hain

    aur qutbon se qutbon tak uD uD kar jaane wale thake paron ki kamanen bhi to

    ek manzil pe chamakti aabnao ki samt lachak jati hain

    lekin hae wo manzilen jin tak har sachchai rasta hai aur har sachchai maut ka jita nam hai

    Source:

    Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 677)

    • Author: Majiid Amjad
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot (p) Ltd.
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now