kachcha gulabi dhaga main
kachchā gulābī dhāgā maiñ
vaqt kī uñglī bedardī se
be-parvā.ī se bechāre
dhāgoñ ko lipTāne vaalī
tezī se harakat meñ aa kar
ghuum rahī hai
aur maiñ us kī uñglī par
lāchārī se
lipaT rahī huuñ
bachī huuñ behad thoḌī sī
kachchā gulābī dhāgā maiñ
Dor maiñ sachche resham kī
kaash ki is lā-fānī rang ko
be-raunaq adh-marī fazā meñ
manzar-dar-manzar chhiTkātī
kaash ye zinda
ye tābinda
rang na.e kuchh rang banātā
kaash fanā se shart lagātā
chhiTak chhiTak kar
phir dhartī ko phūloñ kā ham-rang banātā
kaash ye zālim vaqt Thahartā
kaash gulābī rang na martā
kachchā gulābī dhāgā maiñ
Dor maiñ sachche resham kī
ḳhush-rangī īmān mirā
majbūrī pahchān mirī
ḳhush-rangī kī Dor sañbhāle
majbūrī ke ruup dikhātī
vaqt kī uñglī
ghuum rahī hai
rafta rafta ab
taqrīban
sard ishāroñ par maiñ us ke rote rote
lipaT chukī huuñ
bachī huuñ behad thoḌī sī
kachchā gulābī dhāgā maiñ
kachchā gulābī dhāgā maiñ
Dor maiñ sachche resham kī
kachcha gulabi dhaga main
waqt ki ungli bedardi se
be-parwai se bechaare
dhagon ko lipTane wali
tezi se harakat mein aa kar
ghum rahi hai
aur main us ki ungli par
lachaari se
lipaT rahi hun
bachi hun behad thoDi si
kachcha gulabi dhaga main
Dor main sachche resham ki
kash ki is la-fani rang ko
be-raunaq adh-mari faza mein
manzar-dar-manzar chhiTkati
kash ye zinda
ye tabinda
rang nae kuchh rang banata
kash fana se shart lagata
chhiTak chhiTak kar
phir dharti ko phulon ka ham-rang banata
kash ye zalim waqt Thaharta
kash gulabi rang na marta
kachcha gulabi dhaga main
Dor main sachche resham ki
KHush-rangi iman mera
majburi pahchan meri
KHush-rangi ki Dor sanbhaale
majburi ke rup dikhati
waqt ki ungli
ghum rahi hai
rafta rafta ab
taqriban
sard ishaaron par main us ke rote rote
lipaT chuki hun
bachi hun behad thoDi si
kachcha gulabi dhaga main
kachcha gulabi dhaga main
Dor main sachche resham ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.