aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaif se KHumar tak

Mahboob Khizan

kaif se KHumar tak

Mahboob Khizan

MORE BYMahboob Khizan

  vo hasīn thī mah-e-jabīn thī

  be-gumān thī be-yaqīn thī

  zindagī naram naram āhaTeñ

  be-sabab yūñhī muskurāhaTeñ

  uñgliyoñ meñ baal ko lapeTnā

  dāman-e-ḳhayāl ko lapeTnā

  har ghaḌī vahī milne vāliyāñ

  be-ḳhayāliyāñ ḳhush-ḳhayāliyāñ

  narm uljhaneñ kam-sinī ke ḳhvāb

  añg añg meñ chheḌā inqalāb

  muñh par oḌhnī kabhī nahīñ

  maiñ to aap se boltī nahīñ

  aur phir hayā zindagī maar

  ma.arifat bojh jabr-o-iḳhtiyār

  ek jaan aur saiñkaḌoñ vabāl

  jism dukhan ruuh ḳhayāl

  zindagī baḌhī raushnī liye

  raushnī baḌhī tīrgī liye

  inkisār meñ ik ġhurūr

  kuchh ḳhumār kuchh surūr

  dā.ere yahāñ dā.ere vahāñ

  raqs meñ nazar raqs meñ jahāñ

  guftugū meñ bal ḳhāmushī meñ loch

  raat karvaTeñ karvaToñ meñ soch

  dil bujhā bujhā tishnagī aañch

  ajnabī thakan zindagī aañch

  us ke kaam aa.eñ us dukh baTā.eñ

  us ko chheḌ deñ aur muskurā.eñ

  us aañkh meñ kitnā dard hai

  rañg zard hai ruuh zard hai

  vo udaas hai kyuuñ udaas hai

  us zindagī kis ke paas hai

  ye gunāh kyuuñ bhuul kyuuñ nahīñ

  baaġh meñ tamām phuul kyuuñ nahīñ

  wo hasin thi mah-e-jabin thi

  be-guman thi be-yaqin thi

  zindagi ki naram naram aahaTen

  be-sabab yunhi muskurahaTen

  ungliyon mein baal ko lapeTna

  daman-e-KHayal ko lapeTna

  har ghaDi wahi milne waliyan

  be-KHayaliyan KHush-KHayaliyan

  narm uljhanen kam-sini ke KHwab

  ang ang mein chheDa inqalab

  munh par oDhni ji kabhi nahin

  main to aap se bolti nahin

  aur phir haya zindagi ki mar

  marifat ka bojh jabr-o-iKHtiyar

  ek jaan aur sainkaDon wabaal

  jism ki dukhan ruh ka KHayal

  zindagi baDhi raushni liye

  raushni baDhi tirgi liye

  inkisar mein ek ghurur sa

  kuchh KHumar sa kuchh surur sa

  daere yahan daere wahan

  raqs mein nazar raqs mein jahan

  guftugu mein bal KHamushi mein loch

  raat karwaTen karwaTon mein soch

  dil bujha bujha tishnagi ki aanch

  ajnabi thakan zindagi ki aanch

  us ke kaam aaen us ka dukh baTaen

  us ko chheD den aur muskuraen

  us ki aankh mein kitna dard hai

  rang zard hai ruh zard hai

  wo udas hai kyun udas hai

  us ki zindagi kis ke pas hai

  ye gunah kyun bhul kyun nahin

  bagh mein tamam phul kyun nahin

  Source :
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi

  GET YOUR FREE PASS
  Speak Now