Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kai sal baad

Nadeem Gullani

kai sal baad

Nadeem Gullani

MORE BYNadeem Gullani

    mile ham jo ab ke ka.ī saal ba.ad

    tumheñ bhī malāmat mujhe bhī malāl

    tumhāre bhī chehre ke phīke the rañg

    merā chehra jaise bhaTaktā malañg

    ka.ī raaz chup sadāoñ meñ the

    hamārī sulagtī vafāoñ meñ the

    ajab vaqt o manzar ajab māh-o-sāl

    na koī javāb aur na koī savāl

    baḌī koshisheñ ki ik ho sakeñ

    zarā khul ke hañs leñ zarā ro sakeñ

    guzishta ke kuchh to nishāñ dho sakeñ

    magar ab ye mumkin kahāñ thā 'nadīm'

    na pahle se din the na pahle raat

    na pahle se lahje na pahle baat

    na pahle ham pe mohabbat jaal

    na pahle jīvan na māh-o-sāl

    mile hum jo ab ke kai sal baad

    tumhein bhi malamat mujhe bhi malal

    tumhaare bhi chehre ke phike the rang

    mera chehra jaise bhaTakta malang

    kai raaz chup ki sadaon mein the

    hamari sulagti wafaon mein the

    ajab waqt o manzar ajab mah-o-sal

    na koi jawab aur na koi sawal

    baDi koshishen ki ki ek ho saken

    zara khul ke hans len zara ro saken

    guzishta ke kuchh to nishan dho saken

    magar ab ye mumkin kahan tha 'nadim'

    na pahle se din the na pahle si raat

    na pahle se lahje na pahle si baat

    na pahle sa hum pe mohabbat ka jal

    na pahle sa jiwan na hi mah-o-sal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now