Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise

MORE BYAshfaq Husain

    agar is zindagī ko

    ek phuul

    aur ek ḳhvāb

    aur ek tum milte

    to phir ye zindagī canvas rañgoñ se bhar jaatā

    mayassar hai mujhe bhī

    ek phuul

    aur ek ḳhvāb

    aur ek tum

    lekin

    kabhī tum saath hote ho

    to phir vo phuul

    merī dastaras meñ nahīñ hotā

    kabhī vo phuul

    merī uñgliyoñ por ko chhū kar

    havā meñ raqs kartā hai

    to saare ḳhvāb mujh se ruuTh jaate haiñ

    kabhī rūThe hue ḳhvāboñ se maiñ

    ham raqs hotā huuñ

    to phir tum

    titliyoñ ke rañg

    un ke pañkh

    aur un subuk pairāhnī se ruuTh kar

    apne badan par

    ajnabī bezār-pan ek chādar taan lete ho

    maiñ kaise

    titliyoñ ke pīchhe bhāgūñ

    apne TuuTe ḳhvāb joḌoñ

    aur phir

    is ajnabī bezār-pan chādaroñ ko noch Dālūñ

    maiñ kaise zindagī ke saare mausam saath rakkhūñ

    agar is zindagi ko

    ek phul

    aur ek KHwab

    aur ek tum milte

    to phir ye zindagi ka canwas rangon se bhar jata

    mayassar hai mujhe bhi

    ek phul

    aur ek KHwab

    aur ek tum

    lekin

    kabhi tum sath hote ho

    to phir wo phul

    meri dastaras hi mein nahin hota

    kabhi wo phul

    meri ungliyon ki por ko chhu kar

    hawa mein raqs karta hai

    to sare KHwab mujh se ruTh jate hain

    kabhi ruThe hue KHwabon se main

    hum raqs hota hun

    to phir tum

    titliyon ke rang

    un ke pankh

    aur un ki subuk pairahni se ruTh kar

    apne badan par

    ajnabi bezar-pan ki ek chadar tan lete ho

    main kaise

    titliyon ke pichhe bhagun

    apne TuTe KHwab joDon

    aur phir

    is ajnabi bezar-pan ki chadaron ko noch Dalun

    main kaise zindagi ke sare mausam sath rakkhun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now