kal bhi tha aur aaj bhi hai
shorish-e-bātil shor-e-salāsil kal bhī thā aur aaj bhī hai
mard-e-mujāhid madd-e-muqābil kal bhī thā aur aaj bhī hai
rāh-ravān-e-‘ishq kā pesha koh-kanī aur tesha-zanī
koh-e-girāñ is raah meñ haa.il kal bhī thā aur aaj bhī hai
husn abhī tak dām-e-fareb-e-tafraqa-o-tafrīq meñ hai
'ishq ḳhulūs-e-‘ām kā hāmil kal bhī thā aur aaj bhī hai
fitna-e-sīm-o-zar meñ zamāna gum hai lekin ye fitna
tan kā muhāfiz ruuh kā qātil kal bhī thā aur aaj bhī hai
aaj bhī vaqf-e-ḳhauf-e-talātum kashtī-e-ahl-e-dānish hai
ġharq muhīt-e-mauj meñ sāhil kal bhī thā aur aaj bhī hai
tāb-e-samā’at aaj nahīñ hai murda-dilān-e-gulshan meñ
varna chaman meñ shor-e-‘anādil kal bhī thā aur aaj bhī hai
jabr-e-mashiyyat se ab ham haiñ talḳh-navā.ī par majbūr
varna hamāre siine meñ dil kal bhī thā aur aaj bhī hai
haath meñ sham’-e-rushd-o-hidāyat lab par naġhma-e-mehr-o-vafā
vaqf-e-tag-o-dau shā’ir-e-kāmil kal bhī thā aur aaj bhī hai
'ashk' zarūrat hai is ko bas ek hī zarb-e-kāmil kī
qasr-e-shahanshāhī mutazalzal kal bhī thā aur aaj bhī hai
shorish-e-baatil shor-e-salasil kal bhi tha aur aaj bhi hai
mard-e-mujahid madd-e-muqabil kal bhi tha aur aaj bhi hai
rah-rawan-e-‘ishq ka pesha koh-kani aur tesha-zani
koh-e-giran is rah mein hail kal bhi tha aur aaj bhi hai
husn abhi tak dam-e-fareb-e-tafraqa-o-tafriq mein hai
'ishq KHulus-e-‘am ka hamil kal bhi tha aur aaj bhi hai
fitna-e-sim-o-zar mein zamana gum hai lekin ye fitna
tan ka muhafiz ruh ka qatil kal bhi tha aur aaj bhi hai
aaj bhi waqf-e-KHauf-e-talatum kashti-e-ahl-e-danish hai
gharq muhit-e-mauj mein sahil kal bhi tha aur aaj bhi hai
tab-e-sama’at aaj nahin hai murda-dilan-e-gulshan mein
warna chaman mein shor-e-‘anadil kal bhi tha aur aaj bhi hai
jabr-e-mashiyyat se ab hum hain talKH-nawai par majbur
warna hamare sine mein dil kal bhi tha aur aaj bhi hai
hath mein sham’-e-rushd-o-hidayat lab par naghma-e-mehr-o-wafa
waqf-e-tag-o-dau sha’ir-e-kaamil kal bhi tha aur aaj bhi hai
'ashk' zarurat hai is ko bas ek hi zarb-e-kaamil ki
qasr-e-shahanshahi mutazalzal kal bhi tha aur aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.