kal phir kaam pe jaana hoga
man ke an-dekhe sote se
phuuT paḌe hoñ jaise achānak lākhoñ dhāre
raat ke do bajne vaale haiñ
niiñd kī devī ruuTh ga.ī hai
laakh bulā.ūñ laakh manā.ūñ
ik ziddī bachchī sī rūThī
duur kahīñ kone meñ khaḌī hai
paas mire aatī hī nahīñ hai
der se takiye par sar rakkhe
ik Tuk chhat ko ghuur rahā huuñ
chhat hai jaise mere maazī kā ik darpan
jis par biit ga.e sāloñ kī dhuul aTī hai
dhuul ke parde se rah rah kar
kitne chehre jhāñk rahe haiñ
har chehre ke gird haiñ raqsāñ
kitnī yādeñ
bhūlī-bisrī aadhī puurī kaḌvī mīThī
takte takte thak sā gayā huuñ
soch rahā huuñ
kaash
ye darpan TuuT hī jaa.e
man kā sotā suukh hī jaa.e
maiñ so jā.ūñ
kal phir kaam pe jaanā hogā
man ke an-dekhe sote se
phuT paDe hon jaise achanak lakhon dhaare
raat ke do bajne wale hain
nind ki dewi ruTh gai hai
lakh bulaun lakh manaun
ek ziddi bachchi si ruThi
dur kahin kone mein khaDi hai
pas mere aati hi nahin hai
der se takiye par sar rakkhe
ek Tuk chhat ko ghur raha hun
chhat hai jaise mere mazi ka ek darpan
jis par bit gae salon ki dhul aTi hai
dhul ke parde se rah rah kar
kitne chehre jhank rahe hain
har chehre ke gird hain raqsan
kitni yaaden
bhuli-bisri aadhi puri kaDwi miThi
takte takte thak sa gaya hun
soch raha hun
kash
ye darpan TuT hi jae
man ka sota sukh hi jae
main so jaun
kal phir kaam pe jaana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.