aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karachi

MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi

    karachi meñ dekhī hazāroñ hastī

    qarār-āfrīñ be-qarāroñ bastī

    amīroñ ke bangle ġharīboñ ke chhappar

    balā bulandī qayāmat pastī

    sharīfoñ aur shahryāroñ duniyā

    kahīñ rel-pel aur kahīñ tañg-dastī

    nikhartā buḌhāpā machaltī javānī

    kahīñ but-garī hai kahīñ but-parastī

    javānoñ ke pahlū meñ khilte hue dil

    hasīnoñ nazroñ se bāda-parastī

    ḳhirāmāñ ḳhirāmāñ clifton pe aa kar

    samundar machhlī na hañstī na phañstī

    ki shīrīñ mahal khārā dar hai karachi

    na.ī raushnī nagar hai karachi

    baḌī ḳhūbiyāñ haiñ baḌe aadmī meñ

    ġharīboñ kaTtī hai bechārgī meñ

    adab bhī tijārat vafā bhī tijārat

    tijārat dhun hai hañsī meñ ḳhushī meñ

    salāmat rahe kār-ḳhāne chimanī

    baḌā seTh māhir hai jādūgarī meñ

    jeboñ ke aadam jiyūñ ke Thikāne

    chamakte nazar ā.eñge raushnī meñ

    hayā hoTaloñ meñ hai aape se bāhar

    vafā ghar ke andar bhī hai bebasī meñ

    qamīzoñ se baazū alag ho chuke haiñ

    ġharāra bhī patlūn hai sādgī meñ

    hasīnoñ ke chehre chamakte damakte

    takalluf nahīñ husn aarsī meñ

    ki ḳhush-posh hai ḳhush-nazar hai karachi

    na.ī raushnī nagar hai karachi

    amīroñ maskan ġharīboñ ghar hai

    ra.īsoñ dānishvaroñ nagar hai

    ġharīboñ ke ḳhūn-e-jigar badaulat

    amīroñ sūkhā huā halq tar hai

    ḳhudā.ī ke chakkar meñ aisā ghirā hai

    ki banda ḳhudā se yahāñ be-ḳhabar hai

    karachi saḌkeñ baḌī tañg-dil haiñ

    ġharībo tumhārā ḳhudā rāhbar hai

    yahāñ shaam bhī raat bhī din bhī raushan

    gunāhoñ savāboñ kis ko ḳhabar hai

    ki gulshan defence aur society meñ

    baḌe log rahte haiñ al-muḳhtasar hai

    magar ḳhuub se ḳhūb-tar hai karachi

    na.ī raushnī nagar hai karachi

    shahīdoñ mardān-e-ġhāzī hai

    yahāñ apne qaa.id bhī maqbara hai

    yahāñ miir bhī piir bhī ḳhvesh bhī haiñ

    ki meman bhī ḳhūbe bhī darvesh bhī haiñ

    hasīñ is nagar ke fusūñ-kār bhī haiñ

    usūl-e-mohabbat ke ġhaddār bhī haiñ

    farishtoñ rūhoñ maskan yahāñ hai

    hamāre liye ye zamīñ āsmāñ hai

    hasīnoñ nazroñ ke haqdār hote

    agar ham yahāñ bar-sar-e-kār hote

    chalo ham bhī māneñge is ke fusūñ ko

    sambhāle agar ye hamāre junūñ ko

    javāñ mah-jabīnoñ ghar hai karachi

    na.ī raushnī nagar hai karachi

    hamārā to hai jogiyoñ jaisā pherā

    yahāñ aql ne Daal rakkhā hai Derā

    na 'shā.ir' ne sochā na māhir ne dekhā

    adab ko na.e digestoñ ne gherā

    ra.iis apnī jhuggī meñ thoḌī jagah deñ

    to ham bhī yahāñ kar sakeñge baserā

    ḳhudā ḳhudā.ī meñ sab haiñ barābar

    ye chhappar ye bañgla na terā na merā

    jo baḳhshegā insāniyat ko ujālā

    hamārī nigāhoñ meñ hai vo saverā

    na.ī zindagī na.ī ḳhvāhishoñ ne

    ġhamoñ ko sameTā ḳhushī ko bikherā

    bahār-āfrīñ moḌ par hai karachi

    na.ī raushnī nagar hai karachi

    karachi mein dekhi hazaron ki hasti

    qarar-afrin be-qararon ki basti

    amiron ke bangle gharibon ke chhappar

    bala ki bulandi qayamat ki pasti

    sharifon ki aur shahryaron ki duniya

    kahin rel-pel aur kahin tang-dasti

    nikharta buDhapa machalti jawani

    kahin but-gari hai kahin but-parasti

    jawanon ke pahlu mein khilte hue dil

    hasinon ki nazron se baada-parasti

    KHiraman KHiraman clifton pe aa kar

    samundar ki machhli na hansti na phansti

    ki shirin mahal khaara dar hai karachi

    nai raushni ka nagar hai karachi

    baDi KHubiyan hain baDe aadmi mein

    gharibon ki kaTti hai bechaargi mein

    adab bhi tijarat wafa bhi tijarat

    tijarat ki dhun hai hansi mein KHushi mein

    salamat rahe kar-KHane ki chimani

    baDa seTh mahir hai jadugari mein

    jebon ke aadam jiyun ke Thikane

    chamakte nazar aaenge raushni mein

    haya hoTalon mein hai aape se bahar

    wafa ghar ke andar bhi hai bebasi mein

    qamizon se bazu alag ho chuke hain

    gharara bhi patlun hai sadgi mein

    hasinon ke chehre chamakte damakte

    takalluf nahin husn ki aarsi mein

    ki KHush-posh hai KHush-nazar hai karachi

    nai raushni ka nagar hai karachi

    amiron ka maskan gharibon ka ghar hai

    raison ka danishwaron ka nagar hai

    gharibon ke KHun-e-jigar ki badaulat

    amiron ka sukha hua halq tar hai

    KHudai ke chakkar mein aisa ghira hai

    ki banda KHuda se yahan be-KHabar hai

    karachi ki saDken baDi tang-dil hain

    gharibo tumhaara KHuda rahbar hai

    yahan sham bhi raat bhi din bhi raushan

    gunahon sawabon ki kis ko KHabar hai

    ki gulshan defence aur society mein

    baDe log rahte hain al-muKHtasar hai

    magar KHub se KHub-tar hai karachi

    nai raushni ka nagar hai karachi

    shahidon ki mardan-e-ghazi ki ja hai

    yahan apne qaid ka bhi maqbara hai

    yahan mir bhi pir bhi KHwesh bhi hain

    ki meman bhi KHube bhi darwesh bhi hain

    hasin is nagar ke fusun-kar bhi hain

    usul-e-mohabbat ke ghaddar bhi hain

    farishton ka ruhon ka maskan yahan hai

    hamare liye ye zamin aasman hai

    hasinon ki nazron ke haqdar hote

    agar hum yahan bar-sar-e-kar hote

    chalo hum bhi manenge is ke fusun ko

    sambhaale agar ye hamare junun ko

    jawan mah-jabinon ka ghar hai karachi

    nai raushni ka nagar hai karachi

    hamara to hai jogiyon jaisa phera

    yahan aql ne Dal rakkha hai Dera

    na 'shair' ne socha na mahir ne dekha

    adab ko nae digeston ne ghera

    rais apni jhuggi mein thoDi jagah den

    to hum bhi yahan kar sakenge basera

    KHuda ki KHudai mein sab hain barabar

    ye chhappar ye bangla na tera na mera

    jo baKHshega insaniyat ko ujala

    hamari nigahon mein hai wo sawera

    nai zindagi ki nai KHwahishon ne

    ghamon ko sameTa KHushi ko bikhera

    bahaar-afrin moD par hai karachi

    nai raushni ka nagar hai karachi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now