katbon ke matruk alfaz kahan jaen
dekhte rahnā
kaalī raat aur tez havā ke chehroñ se
ik na ik din peḌ kā saaya Dar jā.egā
ye jo apne āge-pīchhe saat samundar rahte haiñ
jānte ho nā un kā ek hī maqsad hai
un ke hāthoñ par ye ḳhushkī yūñhī baaqī rah jaa.e
saat samundar kālī-rāt aur tez havā
mausam ke hāthoñ pe nauha likhte haiñ
bahrī qazzāqoñ ke dil meñ gahre niile paanī kā to ḳhauf nahīñ
lekin vo bhūke bagloñ se Darte haiñ
ye dil terā merā dil
maazī haal aur mustaqbil ke lafzoñ ke eraab to apne dushman haiñ
ham donoñ ko marne se pahle to āḳhir is kā faisla karnā hai
katboñ ke matrūk alfāz kahāñ jaa.eñ
dekhte rahna
kali raat aur tez hawa ke chehron se
ek na ek din peD ka saya Dar jaega
ye jo apne aage-pichhe sat samundar rahte hain
jaante ho na un ka ek hi maqsad hai
un ke hathon par ye KHushki yunhi baqi rah jae
sat samundar kali-raat aur tez hawa
mausam ke hathon pe nauha likhte hain
bahri qazzaqon ke dil mein gahre nile pani ka to KHauf nahin
lekin wo bhuke baglon se Darte hain
ye dil tera mera dil
mazi haal aur mustaqbil ke lafzon ke erab to apne dushman hain
hum donon ko marne se pahle to aaKHir is ka faisla karna hai
katbon ke matruk alfaz kahan jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.