Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamosh raat uski muntazir thi

Saira Iqbal

KHamosh raat uski muntazir thi

Saira Iqbal

MORE BYSaira Iqbal

    ḳhāmosh raat us muntazir thī

    vo ek martaba phir se

    apnī mas.hūr kun shaḳhsiyat se

    merī niiñd ko shikast dete hue

    mere ḳhvāb dahlīz par

    maazī yādoñ se mahaktā huā

    bouquet thāme khaḌā thā

    maiñ dastak muntazir thī

    vo dabe qadmoñ mere ḳhvāb adh-khilī khiḌkī se

    andar dāḳhil huā aur ḳhāmoshī se mere pīchhe aan khaḌā huā

    vo ḳhāmoshī bilkul aisī thī ki

    jaise sahrā meñ koī zaḳhmī udaas panchhī

    kisī dev qaid meñ muntazir ho

    kisī masīhā masīhā.ī

    aur vo masīhā ḳhud kisī masīhā ke intizār meñ

    sham.a jalā.e kisī chaukhaT par baiThā ho

    vo uñgliyoñ poroñ meñ cigarette thāme khaḌā thā

    vo lambe lambe kash le rahā thā

    phir vo thak gayā

    jaise lambī masāfat ke baad

    koī musāfir kisī kārvāñ sarā.e meñ baiThe

    aur yak-dam apnī manzil tasavvur aate

    is be-vaj.h thakān ko alvidā.a kah de

    us ne apne hāthoñ ko ek baar phir se harakat

    uñgliyoñ meñ dabe cigarette ko

    hoñToñ ke qarīb le gayā

    aur narmī se use chhuā

    vo us āḳhirī kash thā

    āḳhirī kash jaise āḳhirī vaar ho

    laboñ par fātehāna muskurāhaT sajā.e us ne āḳhirī kash mukammal kiyā

    phir zamīn pe pheñkā aur masal diyā

    'vo' aur naarī ek ḳhusūsiyāt ke hāmil haiñ

    jab tak sulgan baaqī rahe

    hoñToñ ke qarīb raheñge

    aur ThanDī hote apne anjām ko pahuñch jā.eñge

    sard raat us tapish aur harārat ko bhī nigal chukī thī

    vo bhī apne anjām āḳhirī sarhadoñ par thī

    raat chhuTtī rahī thī

    jaise us dīvāngī vahshat se Dare hue tāroñ ko

    lorī sunāte sunāte us ne muqaddas chāñd ko alvidā.a kah diyā ho

    aur maiñ apnī āñkhoñ meñ lā-hāsil tamanna sajā.e

    jaise tez āñdhī meñ taak meñ paḌe hue diye ke gird hatheliyāñ jamā.e khaḌī thī

    KHamosh raat us ki muntazir thi

    wo ek martaba phir se

    apni mashur kun shaKHsiyat se

    meri nind ko shikast dete hue

    mere KHwab ki dahliz par

    mazi ki yaadon se mahakta hua

    bouquet thame khaDa tha

    main dastak ki muntazir thi

    wo dabe qadmon mere KHwab ki adh-khili khiDki se

    andar daKHil hua aur KHamoshi se mere pichhe aan khaDa hua

    wo KHamoshi bilkul aisi thi ki

    jaise sahra mein koi zaKHmi udas panchhi

    kisi dew ki qaid mein muntazir ho

    kisi masiha ki masihai ka

    aur wo masiha KHud kisi masiha ke intizar mein

    shama jalae kisi ki chaukhaT par baiTha ho

    wo ungliyon ki poron mein cigarette thame khaDa tha

    wo lambe lambe kash le raha tha

    phir wo thak gaya

    jaise lambi masafat ke baad

    koi musafir kisi karwan sarae mein ja baiThe

    aur yak-dam apni manzil ka tasawwur aate hi

    is be-wajh thakan ko alwidaa kah de

    us ne apne hathon ko ek bar phir se harakat di

    ungliyon mein dabe cigarette ko

    honTon ke qarib le gaya

    aur narmi se use chhua

    wo us ka aaKHiri kash tha

    aaKHiri kash jaise aaKHiri war ho

    labon par fatehana muskurahaT sajae us ne aaKHiri kash mukammal kiya

    phir zamin pe phenka aur masal diya

    'wo' aur nari ek si KHususiyat ke hamil hain

    jab tak sulgan baqi rahe

    honTon ke qarib rahenge

    aur ThanDi hote hi apne anjam ko pahunch jaenge

    sard raat us ki tapish aur hararat ko bhi nigal chuki thi

    wo bhi apne anjam ki aaKHiri sarhadon par thi

    raat chhuTti ja rahi thi

    jaise us ki diwangi ki wahshat se Dare hue taron ko

    lori sunate sunate us ne muqaddas chand ko alwidaa kah diya ho

    aur main apni aankhon mein la-hasil ki tamanna sajae

    jaise tez aandhi mein tak mein paDe hue diye ke gird hatheliyan jamae khaDi thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now